Saturday, March 25, 2017

What is Seo Sem Smo Smm Aapke liye kya sahi hai

What is Seo Sem Smo Smm Aapke liye kya sahi hai


What is Seo, Sem Smo, Smm

Website/blog ke liye traffic sabse main part hota hai. Chahe bussines site ho, marketing site ho ya blog ho. Jab tak site me traffic nahi hota tab tak site kisi kaam ki nahi hai. Aaj ham Hindi Helpz me isi baare me discuss karenge ki Seo (search engine optimization),Sem (search engine marketing), Smo (social media optimization) Aur Smm (social media marketing) kya hai Aur aapki website/blog ke liye inme se kya sahi hai? is post ko poori padhe aap khud hi samajh jayenge ki aapke liye kya sahi hai.

Seo, Sem, Smo aur Smm kya hai ?

1. SEO (Search Engine Optimization)

Seo se ham hamari site ke liye search engine organic traffic recieve karte hai. Seo ka matlab ham hamari site ko search engines EX.- google, bing, yahoo ke liye optimize karte hai. matlab ki site ko search engine friendly banana. aaiye dekhte hai seo me kya-kya cheeze aati hai.

1) Fast loading- site fast loading hona chahiye kyoki search engines aur users dono jaldi open hone wali site ko like karte hai. Site ko fast loading karne ke liye hame apni website/blog ke liye simple template use karna chahiye aur site me widget jaroorat ke anusar add karna chahiye.

2) Use keywords- blog keywords ka use karna chahiye. Keywords se matlab hai ki ese words jo search engine me jyada search kiye jate hai, keywords ka use aapko apni site ke url, title, description, meta tag, post me karna chahiye aur apne visitors ki comment ka reply karte samay bhi keywords ka use karna chahiye. keywords ka use bhi ek limit se hi karna hai. jaroorat ke hisab se keywords ka use kare faltu ke keywords use na kare.


3) Link building- link building se matlab hai ki dusri website/blog me apni link chhodna. isse hamari site me dusri sites se bhi traffic aata hai aur yah search engines ke liye bhi accha maana jata hai, link building ke liye aap apne site ki niche sites par comment kare, guest post kare.

Seo ke ye 3 points sirf aapko samjhne ke liye bataya hu, yadi me pure points likhu to Sem, Smo, Smm ke baare me nahi likh paunga kyoki post bohot lambi ho jayegi. ham seo ke baare me aage ki post me detail se janenge.

2. SEM (Search Engine Marketing)

Sem se ham hamari site ke liye paid traffic recieve karte hai. simple word me kahe to traffic kharidna. iske liye aap Google Adword ka use kar sakte hai. Sem ke liye hame payment karna hota hai aur apni site ka ad dena hota hai. aapne dekha hoga aap jab bhi google  me kuch search karte hai to oopar ke 3 result me ad likha hota hai. aap bhi yadi Adword me apni site ka ad dete hai to aur koi aapke ad se related keyword search karta hai to aapki site ka bhi ad google me top par show hoga. yadi aap paid traffic recieve karte hai to aap adsense ke ads apni site par nahi laga sakte, adsense iski permission nahi deta hai. Sem kam samay me jyada traffic provide karta hai.


3. SMO (Social Media Optimization)

Smo Seo ke similar hi hai aur seo ka important part bhi hai. Smo ki meaning hai social media Ex.- Facebook, Twitter, Google+ etc. ke jariye traffic recieve karna. aap in social media sites me group aur page banakar apni site ya product ka prachar kar sakte hai. Aap apne page aur group ke niche page and group ko join kar ke unme apni site ka prachar kar sakte hai. social media sites me yadi aap apni site ki post karte hai aur yadi usme jyada like and vote padte hai to wo Search engines me bhi top par show hoti hai.

4. SMM (Social Media Marketing)

Smm sem ka similar hai. Smm se social media se paid traffic recieve kiya jata hai. Smm ke liye aap Facebook Ads ka use kar sakte hai. isme bhi aapko sem ki tarah payment karni hoti hai jiske badle me Facebook aapki site ya blog ka ad peoples ko show karega.

Seo, Sem, Smo aur Smm me se aapke liye kya sahi hai ?

Jaisa ki mene aapko bataya ki Sem aur Smm se ham apni website par paid traffic recieve karte hai. Sem aur Smm ke jariye aap kam samay me adhik traffic recieve karte hai. lekin iske liye hame budget maintain karna hota hai. Sem aur Smm ke jariye ham apni site ka ad ek seemit samay ke liye dikha sakte hai uske baad fir se ad dikhane ke liye hame dubara payment karna hota hai. Yadi aap paid traffic recieve karte hai to aap Adsense ke liye apply nahi kar sakte. Yadi aap apni website se koi product sell karte hai aur aappka budget hai to aapke liye Sem and Smm bohot hi accha tarika hai.


                 Seo aur Smo se hame organic traffic recieve hota hai aur iske liye hame      khud hi mehnat karna hota hai. Lekin jaisa mene aapko bataya ki Sem aur Smm ke jariye aap seemit samay ke liye traffic recieve karte hai but Seo aur Smo aapka saath long time tak dega. yadi aapko Seo ki acchi knowledge hai to aap free me manchaha traffic recive kar sakte hai bas iske liye aapko mehnat karna hoga. Yadi aap blogger hai ya aapki koi website hai jisme aap kuch sell nahi karte hai to aap Seo aur Smo ka use kare. aap isme Adsense ke liye bhi apply kar sakte hai. Adsense website/blog se money earn karne ka sabse accha way hai.

Friends ye post aapko kesi lagi comment me bataye aur hamara Fb Page like kare.

Go to link download