Wednesday, March 15, 2017
Xposed Framework Kya Hai Aur Ise Kaise Install Kare
Xposed Framework Kya Hai Aur Ise Kaise Install Kare
Hello friends, Hindi Helpz me aapka swagat hai. Aapne xposed framework ka naam to suna hi hoga lekin yadi aap nahi jaante hai ki ye kya hai aur iska kya use hai?
Ham aapko is post me batayenge ki ye kya hai ?, Iska kya use hai ?, Aur ise kaise install kare ?
Xposed Framework Kya Hai ?
Mai aapko ise install karne ke bare me batane se pehle short me batana chahunga ki ye kya hai aur iska kya use hai ?
Aap log custom rom ke bare me to jante hi honge ki custom rom ke throw ham apne phone ko customize kar sakte hai. Example ke liye yadi aapke phone ka version kitkat hai to aap usko lolipop kar sakte ho. Isi tarah aap custom rom ki madad se iske alawa aur bhi customization kar sakte hai.
Yadi internet par aapke phone ki custom rom available nahi hai ya aap custom rom install nahi karna chahte hai, kyoki usme risk rehta hai aur kuch problems hoti hai to aap xposed framework ki madad se apne phone ko customize kar sakte hai. Iski madad se aap apne phone ko custom rom se bhi jyada advance level me customize kar sakte hai.
Xposed framework me tarah tarah ke modules (apps) hote hai, jinki madad se aap apne phone ko customize kar sakte hai. Isme har ek cheez ke liye alag - alag modules hote hai. inki jankari ham aapko aane wali posts me denge.
Aapko apne phone me jo bhi customization karna hai uske liye aap isme diye hue modules ko install karke kar sakte hai. Iska sabse bada fayda ye hai ki yadi aapke phone me is se koi problem hoti hai ya aapko wo module pasand nahi aata to aap use uninstall kar sakte hai. Jabki custom rom me yadi koi problem aati hai to poori rom change karna padta hai aur ye thoda risky work bhi hai.
Xposed framework android phone par nahi balki android version par depend karta hai. Ye 4.0.3 version se lekar 6.0.3 tak ke android version par work karta hai. Isme 4.0.3 se 4.4.4 tak ke version ke liye ek alag xposed framework install karna hota hai aur 5.0 se 6.0.3 version tak ek alag framework install karna padta hai.
Xposed Framework Kaise Install Kare
Jaisa ki maine aapko bataya ki 4.0.3 se 4.4.4 tak ke version ke liye ek alag xposed framework install karna hota hai aur 5.0 se 6.0.3 version tak ek alag framework install karna padta hai. Isiliye aap neeche di hui dono link me se apne phone ke version ke hisab se download kare.
Iske liye aapka phone rooted hona chahiye. Yadi aapka phone rooted nahi hai to android phone ko without pc root kaise kare post read karke apna phone root kare.
1. Sabse pehle neeche di hui link se xposed installer download kare.
> For 4.0.3 to 4.4.4 - Download
> For 5.0.1 to 6.0.3 - Download
2. Download hone ke baad install kare aur open kare.
3. Root permission grant kare.
4. Framework option open kare.
5. Install / update button me click kare.
6. framework update hone ke baad ok button me click kare, aapka phone reboot ho jayega.
7. Phone on hone ke baad xposed installer open kare aur download option open kare.
8. Aapko bohot se modules show honge unme se apni requirement ya pasan ka module download and install kare.
9. Iske baad xposed framework ke home jaye aur modules option choose kare.
10. aapne jo bhi modules download kiya hai wo yaha par show hoga, iske samne jo small box diya hai usme tap karke right check kare.
11. Ab aap us download kiye hue module ko run kar sakte ho aur apne phone me customization kar sakte ho.

Done
Ham aapko aane wali posts iske jaroori modules and tricks ke baare me batayenge.
Friends aapko ye post kaisi lagi hame comment me bataye. Ye post apne friends ke sath share kare. Hamare blog ki new updates facebook me pane ke liye hamara facebook page like kare aur email me pane ke liye hamara blog subscribe kare.
Go to link download