Tuesday, March 14, 2017

10 whatsapp tricks hindi me jo shayad aap nahi jante

10 whatsapp tricks hindi me jo shayad aap nahi jante



10 whatsapp tricks in hindi, hindihelpz

Whatsapp aaj ke samay ka sabse jyada use hone wala social network app ban gaya hai. is post me aapko bohot si whatsapp tricks and tips hindi me seekhne ko milengi .ye tricks shayad hi aapko pata ho.
In whatsapp tricks ka use karke aap whatsapp ke bohot se kathin kaam aasan kar sakte hai aur apne friends par accha impression jama sakte hai. To chaliye dekhte hai.


1.Whatsapp me bold, italic and strikethrough text send kare


1) whatsapp me bold text send karne ke liye text ke shuru me aur aakhiri me asterisk (*) ka use karna hai.
Example- *Bold*

2) Italic text send karne ke liye text ke shuru me aur aakhiri me underscore (_) add karte hai.
Example- _italic_

3) Strikethrough text send karne ke liye text ke shuru me aur aakhiri me tilde (~) add karna hota hai.
Example- ~Strikethrough~

2. Whatsapp me ek message ko ek hi baar me sabhi friends ko send kaise kare bina group ke

Is trick se aap ek message ek baar me sabhi friends ko send kar sakte hai aur unhe malum bhi nahi chalega ki aapne ye message bohot se friends ko send kiya hai.

1) whatsapp open kare.

2) option ki button me click kare.

3) New broadcast me click kare.

4) + me click kare.

5) jin friends ko message send karna hai unka contact select karne ke baad done me click kare.

6) creat me click kare.

7) ab aapko jo bhi message send karna hai kare wo message un sabhi ke paas send hoga jinka contact aapne select kiya tha.

Ye bhi padhe- whatsapp me friend ki profile pic kaise change kare

3. Whatsapp me group me send kiya hua message kis-kis ne read kiya hai kese jaane.


1) whatsapp open kare.

2) group ki conversation open kare.

3) jis message ke baare me jaan na hai usme long press kare.

4) upar (i) symbol me click kare.

5) ab aap dekh sakte hai kis-kis ne msg read kiya hai aur kitne time kiya hai.

4. Kisi ko bhi jaan ne se kaise roke ki aapne uska message read kiya hai ya nahi


1) whatsapp open karke option ki button me click kare.



2) setting > account > privacy me jao.

3) Read reciept me uncheck kare.

Ye bhi padhe- fb me color text kaise likhe, fb color text code

5. kisi bhi whatsapp message ko starred kaise kare baad me read karne ke liye


whatsapp ne new suvidha launch ki hai jiska naam starred mesaage hai. iske upyog se kisi bhi message ko starred kar ke save kar sakte hai baad me read karne ke liye, kabhi-kabhi hame koi message pasand aa jata hai, but hame use dhoondna padta hai. is suvidha se whatsapp ke kisi bhi message ko starred kar ke baad me paadhne ke liye alag se save kar sakte hai.

whatsapp message starred karne ke liye


1) message me long press kare.

2) oopar ki taraf dekhe star (*) bana hoga usme click kar de. message starred ho chuka hoga.

starred message dekhne ke liye


1) whatsapp open karne ke baad option ki button me click kare.

2) starred message me click kare. aapko sabhi starred kiye hue message yaha par mil jayenge.

Ye bhi padhe- fb autoliker se kya nuksaan hai

6. Multimedia auto download kaise manage karte hai


1) whatsapp open kar option button me click kare.

2) uske baad Setting > Data usage > Media auto download me jaaye.

3) when using mobile data me click kare.

4) ab aapko jo cheez auto download karna hai usme checkmark (?) kar de.

5) when using wi fi data me bhi upar batayyi hui same process karna hai.

7. Whatsapp ki kisi bhi chat ka home screen me shortcut kaise creat karte hai.


1) whatsapp open kare uske baad kisi bhi chat me long press kare.

2) ek popup khulega usme Add conversation shortcut me click kare.

3) Home screen me dekhe shortcut ban chuka hai.

8. Whatsapp ka chat background wallpaper kaise change karte hai


1) whatsapp open karke koi bhi chat open kare.

2) option ki button me click kare.

3) wallpaper me click kare.

4) gallery me click kare.

5) wallpaper choose kare aur ok me click kar de.


9. Whatsapp me Last seen hide kare


1) whatsapp open kare aur option ki button me click kare

2) Setting > Account > privacy me jaaye.

3) Last seen me click kare.

4) everyone me click karne se last seen sabhi ko dikhega, my contacts me click karne se aapke phone jo contacts save hai sirf unhi ko dikhega aur Nobody me click karne se kisi ko bhi nahi dikhega.


10. Whatsapp me profile pic kaise hide kaise kare


1) whatsapp open kar option khole



2) Setting > Account > privacy me jaaye.

3) profile photo me click kare.

4) everyone me click karne se profile pic sabhi ko dikhegi, my contacts me click karne se aapke phone jo contacts save hai sirf unhi ko dikhegi aur Nobody me click karne se kisi ko bhi nahi dikhegi.

Friends aapko ye post kaisi lagi comment me bataye , aur esi hi new tricks apne fb aur email me paane ke liye hamara fb page like kare aur hamara blog subscribe kar le.


Go to link download