Sunday, March 12, 2017

2G 3G Phone Se Jio Sim Ka Barcode Kaise Generate Kare Kaise Le

2G 3G Phone Se Jio Sim Ka Barcode Kaise Generate Kare Kaise Le



2g ya 3g phone se jio barcode kaise generate kare


Hello friends, Aaj ham aapke liye bohot hi interesting and usefull trick lekar aaye hai. Is post me ham batayenge ki 2g ya 3g phone se jio 4g sim ka barcode kaise nikal sakte hai aur us barcode se jio sim bhi le sakte hai.



Ye trick 100 % guaranteed work karegi. Kyoki is trick ka use mai already kar chuka hu aur jio sim le chuka hu. Mera phone samsung galaxy core 2 hai jo ki 3g phone hai but mene isi phone se barcode generate kia hai aur kal hi 29 september 2016 ko sim lia hai. Aur maine is trick ko apne friends ke phone me bhi test kiya hai aur ye sabhi me work kar rahi hai to aapko bhi isme koi problem nahi hogi aap ise aasani se kar lenge.

> Reliance Jio Ke Najdeeki Store Ka Pata Kaise Kare
> Apne Exiting Number Ko Reliance Jio Me Convert Kaise Kare
> Aapke Phone Me Nahi Chal Rahi Jio Sim To Ye Steps Follow Kare
> 3G Phone Me 4G Jio Sim Kaise Chalaye

Aapko iske lie koi third party app download nahi karna hai aur na kuch other extra process karna hai. Bas aapka phone android hona chahiye chahe wo 2g ho ya 3g. Ye bohot hi chhoti si trick hai jo ki koi bhi aasani se kar sakta hai.
Maine iske pehle ye bhi bataya tha ki jio 4g sim 3g phone me kaise chalate hai.


2G / 3G Phone Se Jio 4G Ka Barcode Kaise Generate Kare




Requirements For Barcode


? Any android phone (2g/3g/4g)
? Internet connection
? 3.2.05 version MyJio app



Process For Barcode




1. Sabse pehle 3.2.05 old version ka MyJio app download and install kare. Ise aap neeche di hui download link se download kar sakte hai ya fir google me old version myjio apk search kare aur result ki first link se bhi download kar sakte hai.
Download MyJio Old Version 3.2.05 Apk

( Note : Playstore se myjio app download na kare, kyoki ye trick sirf old version me hi work karti hai aur yadi aapke phone me myjio app already installed hai to use uninstall karke is link se download kare )

2. Install ho jane ke baad open kare. Open karne par aap dekhenge aapko 12 apps ki list show hogi jinhe aapko install karna hoga. Iske liye aap install all button me click kare ya fir ek ek kar sabhi apps install kare. Yadi aapke kisi friend ke paas ye apps already installed hai to aap us se ye apps lekar install kar sakte hai.

3. Sabhi apps install ho jane ke baad MyJio app close kare, data / wi-fi off kare aur background me run kar rahe sabhi apps clear kare.


4. Ab data / wi- fi off me hi MyJio app open kare. Open karne ke baad apps ki list show hogi usme sabse upar hi dubara MyJio app hai use open kare.

5. Open karne ke baad aapko Get Jio Sim ka option show hoga. Apna data / wi-fi on kare aur jaldi se Get Jio Sim button me click kare.

( Note - ? yaha par MyJio app open karne se pehle data off rehne dene ke lie islie bola gaya hai kyoki yadi aap data on me hi open karte hai to aapse ye app update karne ke lie message show hoga aur update karne par ye trick work nahi karegi.
? Data on karne ke baad jaldi se Get Jio Sim option par click karna hai. Yadi aap is process ko jaldi nahi karte to ho sakta hai ki aapke saamne update ka message show hone lage.
? Yadi update ka message show hota hai to pareshaan hone ki jaroorat nahi hai. Aap dubara background me chal rahe apps clear kare aur dubara ye step follow kare.)

6. Get Jio Sim me click karne ke baad screen me kuch instructions show honge unhe follow kare.

7. Finally aapko barcode show hoga uska screenshot le kar save kare.


Is Barcode aur aadhar card ki xerox copy lekar aap najdeeki jio digital store jakar jio sim free pa sakte hai, isme aapko kisi bhi prakar ki pareshani nahi hogi.

Aapko ye post kaisi lagi hame comment me batayen, is post se related koi question ya pareshani ho to aap hamse comment me pooch sakte hai. Ye post apne friends ke sarh bhi share kare. Hamare blog ki new post email dwara pane ke lie hamara blog subscribe kare aur fb par pane ke liye hamara facebook page like kare.


Go to link download