Monday, March 13, 2017

Aapke Phone Me Nahi Chal Rahi Jio 4g Sim To Ye Steps Follow Kare

Aapke Phone Me Nahi Chal Rahi Jio 4g Sim To Ye Steps Follow Kare


if jio sim not worked properly then follow these steps.

Aapke phone me jio 4g sim nahi chal rahi hai to aap is post me diye gaye steps ko follow karke is problem ko fix kar sakte hai.

Jio 4g ka trend poore india me chhaya hua hai kyoki ye apne users ko 31 december 2016 tak ke liye free 4g internet data, free voice calling, aur free sms de rahi hai. Yadi aapko iski shop ka pata nahi hai to hamne iske pehle ek post me bataya hai jio ke najdeeki store ka pata kaise kare.

Kuch users ki sikaayten aa rahi hai ki ye unke phone par acche se work nahi kar rahi. Kuch jio users ke phone me ye sim hi nahi chal rahi hai, kuch ke me internet na chalne ya slow speed me chalne ki problem ho rahi hai aur kuch ke phone me iski voice calling ki quality ko lekar pareshani ho rahi hai.

Isi samasya ko dekhte hue ham kuch tips & tricks lekar aaye hai jinki madad se aap in problems ko fix kar sakte hai aur iske free plans ka maja le sakte hai.

Aapke Phone Me Nahi Chal Rahi Jio 4g To Ye Steps Follow Kare



#1 Confirm Kare Ki Aapka Phone 4G Hai


Aap log ye baat shayad pehle se hi jante honge ki ye sim sirf 4g smartphones ke liye hai aur ye sirf 4g service hi provide kar rahi hai.
Wese bhi ye sim sirf 4g smartphone users ko hi mil rahi hai but aap kahi se is sim ka jugaad kar liye hai aur aapka phone 2g ya 3g hai to aap ye baat man se nikaal hi dijiye ki ye aapke phone par chalegi, kyoki ye 2g and 3g handset par show hi nahi hogi. Wese hamne ek post me bataya hai ki 3g phone par jio sim kaise chalate hai but iske liye bhi aapko kuch steps follow karne honge.


#2 Jio 4G Sim Phone Ke 1st Sim Slot Me Lagaye


Kisi bhi phone ka 1st sim slot 2nd slot se jyada powerful hota hai aur sabhi network providers bhi ye salaah dete hai ki unki sim ko 1st slot me lagaye. Isliye yadi aapki jio sim me internet ya calling ki problem ho rahi ho to aap apni jio sim ko phone ke first slot me lagayen.


#3 Confirm Kare Ki Kya Aapka Phone VoLTE Supported Hai


Yadi aapka phone VoLTE supported nahi hai to aapko jio sim ki calling suvidha kisi bhi tarike se nahi mil sakti. Is sim ki calling service VoLTE based hai jiske liye aapka phone VoLTE supported hona jaroori hai. Yadi aapka phone VoLTE supported nahi hai to aap kisi bhi trick se apne 3G ya 4G phone me internet data ka use to kar sakte hai but calling service ka fayda nahi le sakte.


#4 Network Mode LTE Choose Kare


Aap ye baat to acche se jante hi hai ki ye sirf 4g network support karti hai. Aapka phone 4g hai to bhi sim nahi work kar rahi to iska ye reason bhi ho sakta hai ki aapne apne phone ke network mode ko GSM ya WCDMA se hatakar LTE na kiya ho.
Network mode LTE me karne ke liye ye step follow kare.
Setting > Network setting / More networks > Mobile networks > Network mode me jane ke baad LTE select kare.


To friends ye kuch tips & tricks thi jinki madad se aap apne phone me jio 4g sim yadi nahi chal rahi hai to fix kar sakte hai.
Aapke saath jio 4g sim ko lekar aur bhi koi problem ho rahi ho to aap hamse comment me jaroor pooche, yadi hame uska solution pata hoga to ham aapki madad jaroor karenge aur aap bhi hamari thodi si madad karna chahte hai to is post ko apne friends ke sath share kare.


Go to link download