Showing posts with label 4g. Show all posts
Showing posts with label 4g. Show all posts

Thursday, April 20, 2017

La revolución de la conexión 4G ¿y de la 5G

La revolución de la conexión 4G ¿y de la 5G


Galaxy Space 3D Live WallPaper.apk 15
Name: galaxy-space-3d-live-wallpaper.apk
Google Play ID: com.test.livewallpaper
Version: 15
Size: 9.2Mb



Galaxy Space 3D Live WallPaper Screen Preview

Free Galaxy Space 3D Live WallPaper APK
Free Download Galaxy Space 3D Live WallPaper APK for Android
Free Download Galaxy Space 3D Live WallPaper APK for Android

Galaxy Space 3D Live WallPaper Description

This wallpaper of the solar system are all the planets from the sun after Pluto.          Wallpaper has several personalization options. Involving the choice of whether the planet have to rotate the camera motion simulation enabling options and choices when double tapping the screen.           View changes depending on which phone screen we are. It gives an amazing effect of movement and life in space.                          Updates will appear very often

Whats new in Galaxy Space 3D Live WallPaper 15

New Icon added smoke changed planet position and many more Now wallpaper is more dynamic and the planets are more visible. I added animated camera. And changed planet position next time
Galaxy Space 3D Live WallPaper | 35 Reviewers | | Rating: 4.2

Download Galaxy Space 3D Live WallPaper 15 APK

  • Download

Go to link download

Read more »

Tuesday, April 11, 2017

Janiye Jio 4G Ki Orange And Blue Sim Me Kya Difference Hai

Janiye Jio 4G Ki Orange And Blue Sim Me Kya Difference Hai


jio ki orange aur blue sim me kya difference hai

Friends is post me mai aapko bataunga ki reliance jio 4g ki orange and blue sim, dono ke beech kya difference hai. Mai aaoko is post me jio ki koi trick nahi bata raha hu. Sirf knowledge ke lie aapko bata raha hu ki aakhir inme kya antar hai.


Aapne jio sim liya hoga to aapne dekha hoga ki aapko blue ya orange packet me mili hogi aur aapke friends me bhi kuch ko orange to kuch ko blue packet me sim mili hogi.
Jio 4g ke offers dono sim ke liye ek hi hai. Sabhi ko 31 december 2016 tak free internet, free calling, free sms aur kuch free apps and subscriptions mil rahe hai. Sabhi ko ek si internet speed mil rahi hai. Dono me se kisi bhi sim me koi extra feature nahi hai to fir aakhir dono me difference kya hai isi baat ko aa ham is post se janenge. Jaanne ke lie ye post puri read kare.

> Reliance Jio Ke Najdeeki Store Ka Pata Kaise kare
> Apne Exiting Number Ko Reliance Jio Me Port Kaise Kare
> 3G Phone Me 4G Jio Sim Kaise Chalaye

Jio 4G Ki Orange And Blue Sim Me Kya Differnce Hai


Ham aapko dono sim ke baare me alag alag batayenge aur kosish karenge ki aap ise sahi tarike se samajh jaye.

Reliance Jio ki Orange Sim


Jaisa ki aap dekhe honge ki jio sim ke liye bohot se booths hai aur kai mobile shops par ye aapko uplabdh hai. Jab aap jio sim lete hai aur yadi aapko orange packet milta hai to aapse barcode ki xerox copy, id proof ki xerox copy and 2 passport size ki aapki photo jama karwai jati hai aur aapko sim de di jati hai. Iske baad retailer aapki sim ke lie ek form fill karta hai jisme aapki detail fill ki jati hai, sim ke packet ki detail fill ki jati hai aur aapke documents attach kare jate hai. Iske baad retailer ise najdeeki jio center me jama kar deta hai. Jama karne ke baad jio center is jankari ko jio ke head office me send karta hai. Waha par aapka form check hota hai iske baad aapke phone me jio ka network show hota hai aur aapko fir 1977 me call karke id verification process compelete karna hota hai iske baad hi aapki sim work karti hai.
Is poori process me 10 se 12 din ya is se jyada samay bhi lag jata hai.

Reliance Jio Ki Blue Sim


Aapko jio sim ka blue packet sirf waha milega jaha par e - KYC system ke dwara sim provide karai ja rahi hai.
Yadi aapko blue packet milta hai to waha par aapse aadhar card ka number poocha jata hai, aapka barcode dekha jata hai aur fingerprint machine me aapka finger print liya jata hai. Aapki sim ke packet ke barcode ko scan kiya jata hai aur last me ye sari detail online fill kari jati hai jiske baad aapki sim aur number aapko de di jati hai.

e - Kyc system me hota ye hai ki sim ke barcode ke sath aapka aadhar card link ho jata hai jisse aapki id proof turant ho jati hai. Ye 1 se 2 hours me chaalu ho jati hai, wese to iska samay 48 hours bataya gaya hai but jaldi chaalu ho jati hai.

Is Process Me Badlav Aayega Ya Nahi


Dosto jab jio sim launch hui thi to blue packet sim sirf jio workers ke lie bas thi aur orange packet ki sim customers ke lie. Jab e - KYC system shuru hua to jaha jaha ye system tha waha par customers ko bhi blue packet sim di jane lagi but ab jio ka e - KYC  system kuch places ko chhodkar lagbhag sabhi jagaho par shuru ho chuka hai islie aajkal orange packet ki sim bhi e - KYC system ke jarie milne lagi hai.

Aapko Kon Si Sim Lena Chahiye


Friends jaisa ki maine aapko dono me antar bataya aur last me ye bhi bataya ki aajkal orange sim bhi e - KYC system se milne lagi hai aur wo bhi jaldi chalu ho jati hai.
But abhi bhi bohot si jagaho par ye system abhi chaalu nahi hua hai to mai aapko suggest karunga ki aap blue packet sim hi le ya fir jaha se le rahe hai uske bare me pata kar le ki e - KYC system hai ya nahi.

Friends aapko ye post kaisi lagi hame comment me bataye, is post se related koi problem ho to hamse comment me pooche, hamari new post mail se pane ke lie hamara blog subscribe kare aur fb par pane ke lie hamara fb page like kare aur is post ko apne friends ke saath share karna na bhoolen.

Go to link download

Read more »

Saturday, March 25, 2017

3G Android Phone Me 4g Jio Sim Kaise Chalaye

3G Android Phone Me 4g Jio Sim Kaise Chalaye


3g phone me reliance jio 4g sim kaise chalaye

Aapne reliance jio 4g ke baare me to suna hi hoga aur acche se jaante bhi honge. jabse jio sim aayi hai jio ka tehelka pure india me hai kyoki ye customers ko 3 month tak unlimited internet, calls and messages de rahi hai.

pehle ye sirf reliance LYF phone me hi work karti thi but kuch din pehle reliance ne jio ki open sell shuru kar di hai jis se ki ye sim sabhi ke liye uplabdh hai. lekin isme bhi ek kami hai ki iske liye aapke paas 4G phone hona jaroori hai. yadi aap is sim ko 3G phone me lagate hain to " No service " ya " sim not found " batata hai. lekin ham aapko ek trick bata rahe hain jis se aap 3g phone me bhi jio 4g ka lutf utha sakte hain.

3G Phone Me Jio 4G Sim Kaise Chalaye



Iske liye aapko sabse pehle MTK Engineering Mode app download karna hoga aur neeche di hui process follow karna hoga. ye app 200 kb se bhi kam ka hai. ise aap play store se download kar sakte hai ya fir neeche di hui link se download karen.


Requirements


Kuch requirements hai 4g jio sim ko 3g phone me chalane ke liye jo ki aapke phone me hona chahiye -

1. Aapka phone 4.4 kitkat ya is se bade version ka hona chahiye.
2. Mediatek chipset processor hona chahiye.


3G Phone Me 4G Jio Sim Chalane Ke Liye Steps -


1. MTK Engineering Mode app download kare aur open karen.
            Download MTK Engineer Mode
2. Open karne ke baad MTK Setting option select karen.
3. Preferred Network option choose karen.
4. Network mode WCDMA or GSM choose karen.
5. Setting save karen aur phone restart karen.
Iske baad aapke phone me jio 4g work karne lagegi aur aap 3 month unlimited internet, calls and messages ka maja le sakenge.


NOTE -
             ? MTK Engineering Mode bahut se phone par work nahi karta hai.
             ? Apne phone ka specification check kar le ki meditek processor hai ya nahi, kyoki ye trick sirf mediatek processor wale phone par hi work karti hai.
             ? Is process savdhanipurvak karen.
             ? Is process ko apni khudki risk par hi karen, isme hindihelpz.com kisi bhi prakar se jimmedar nahi hoga.

Friends aapko ye post kaisi lagi hame comment me batayen aur ye trick apne friends ke sath bhi share karen



Go to link download

Read more »

Thursday, March 23, 2017

Jio Prime Membership Kaise Activate Kare March 2018 Tak Free Jio 4G Use Karne Ke Liye

Jio Prime Membership Kaise Activate Kare March 2018 Tak Free Jio 4G Use Karne Ke Liye


jio prime membership kya hai


Reliance company ke chairman mukesh ambani ji ne jio ke liye ek naya membership plan launch kiya hai jise jio prime naam diya hai. Yadi ap jio user hain to shayad aapne bhi is plan ke baare me suna hoga aur yadi nahi suna hai to is post ko dhyan se padhe, ye post aapke liye bohot kaam ki hai.



Aap log ye baat acche se jaante honge ki reliance jio dino din aage hi badhta ja raha hai. Reliance jio apni launching ke 170 days me hi 100 million subscribers collect kar liya tha. Har ek second me jio se 7 new customer judte hai.

> Aapke Phone Me Nahi Chal Rahi Jio Sim To Kya Kare.
> 2G/3G Phone Se Jio Sim Ka Barcode Kaise Nikale.

Ambani ji ke mutabik jio users 1 month me 100 crore gb se bhi jyada data use kar lete hain aur per day 3.3 crore gb se bhi jyada data use kar lete hain.

Ambani ji me announce kiya hai ki jio ki free service 31 march ke baad khatm hone wali hai. 31 march ke baad koi bhi jio user without prime membership ke jio ki free service ka lutf nahi utha payega.

Jio prime membership plan ke liye aapko 99 rupay ka subscription karna hoga jiske baad aap har month 303 rupay kharch karke jio ke happy new year plan ka maja le sakte hai jisme aapko free 1 gb data, phone call, sms etc. milenge.

Jio Prime Membership Kaise Activate Kare




Jio prime membership aap sirf 99 rs kharch karke 1 march se 31 march tak kabhi bhi neeche diye hue steps ki madad se suvscribe kar sakte hai.

1. Jio Site


1) www.jio.com open kare.
2) Quick pay option me se recharge option select kare.
3) Apne jio account se login kare.
4) Buy membership me click kare.
5) Jio prime membership select kare.
6) Jio prime membership ke liye 99 rs pay kare.

1 april 2017 se aapke number me jio prime membership activate ho jayegi.

2. MyJio App


1) MyJio app open kare aur login kare.
2) Left menu open kare buy membership option choose kare.
3) Jio prime membership me click kare.
4) 99 rs pay kare.
Done....

3. Offline


Aap apne najdiki kisi bhi jio store par jaye aur waha par upasthit staff se jio prime membership ke liye bolen. Unhe 99 rs cash ya card se payment kare. Thodi der ki process ke baad wo aapke number pe jio prime membership ke liye apply kar denge.

> Reliance Jio Ke Najdeeki Store Ka Pata Kaise Kare

Jio Prime Membership Me Kya Kya Free Milega 31 March 2017 Tak


Jio prime membership me happy new year offer ki tarah same plan milega jisme unlimited call, sms and internet data ke saath saath JioTV, JioMusic, JioMags, Jio Cinema and JioXpressNews bhi free rahega.


1) Daily 1 GB high Speed data + unlimited data with 125Kbps.
2) Unlimited jio premium apps -JioTV, JioMusic, JioMags, Jio Cinema and JioXpressNews.
3) Unlimited free calling with free roaming.
4) Unlimited high speed 4g data in night (2 am to 5 am).

Kya Hoga Yadi Aapne Jio Prime Membership Plan Subscribe Nahi Kiya




Jaisa ki hamne aapko bataya ki jio prime membership plan me aapko happy new year offer ki tarah sab kuch free milega sirf ek baar ke 99 rs aur monthly 303 rs pay karne par but yadi aap ise subscribe nahi karte to aapko high priced jio plans use karna padega. Aap www.myjio.com me recharge ki list dekh sakte hai ki aapko kitna amount pay karne par kitna benifit milega. Haalanki jio ke regular plans bhi baaki sim ke mukaable saste hai but jio prime membership isse bhi sasta hai.

Final Words :



Friends poori post padhne ke baad shayad aapko khud hi pata chal gaya hoga ki aapke liye kya sahi hai but fir bhi ek baar mai aapse kehna chahunga ki yadi aapko jyada benifit chahiye to is plan ko jald se jald subscribe kar le. Yaad rakhe ki ise aap 1 march se 31 march tak hi subscribe kar sakte hai isiliye der na kare aur is shaandaar offer ko haath se na jaane de.

Friends aapko ye post kaisi lagi hame comment me bataye aur aapko is post se related koi problem ho to bhi comment me pooch sakte hai. Ye post apne friends ke sath share kare. Hamare blog ki new updates facebook me pane ke liye hamara facebook page like kare aur email me pane ke liye hamara blog subscribe kare.


Go to link download

Read more »

Monday, March 13, 2017

Aapke Phone Me Nahi Chal Rahi Jio 4g Sim To Ye Steps Follow Kare

Aapke Phone Me Nahi Chal Rahi Jio 4g Sim To Ye Steps Follow Kare


if jio sim not worked properly then follow these steps.

Aapke phone me jio 4g sim nahi chal rahi hai to aap is post me diye gaye steps ko follow karke is problem ko fix kar sakte hai.

Jio 4g ka trend poore india me chhaya hua hai kyoki ye apne users ko 31 december 2016 tak ke liye free 4g internet data, free voice calling, aur free sms de rahi hai. Yadi aapko iski shop ka pata nahi hai to hamne iske pehle ek post me bataya hai jio ke najdeeki store ka pata kaise kare.

Kuch users ki sikaayten aa rahi hai ki ye unke phone par acche se work nahi kar rahi. Kuch jio users ke phone me ye sim hi nahi chal rahi hai, kuch ke me internet na chalne ya slow speed me chalne ki problem ho rahi hai aur kuch ke phone me iski voice calling ki quality ko lekar pareshani ho rahi hai.

Isi samasya ko dekhte hue ham kuch tips & tricks lekar aaye hai jinki madad se aap in problems ko fix kar sakte hai aur iske free plans ka maja le sakte hai.

Aapke Phone Me Nahi Chal Rahi Jio 4g To Ye Steps Follow Kare



#1 Confirm Kare Ki Aapka Phone 4G Hai


Aap log ye baat shayad pehle se hi jante honge ki ye sim sirf 4g smartphones ke liye hai aur ye sirf 4g service hi provide kar rahi hai.
Wese bhi ye sim sirf 4g smartphone users ko hi mil rahi hai but aap kahi se is sim ka jugaad kar liye hai aur aapka phone 2g ya 3g hai to aap ye baat man se nikaal hi dijiye ki ye aapke phone par chalegi, kyoki ye 2g and 3g handset par show hi nahi hogi. Wese hamne ek post me bataya hai ki 3g phone par jio sim kaise chalate hai but iske liye bhi aapko kuch steps follow karne honge.


#2 Jio 4G Sim Phone Ke 1st Sim Slot Me Lagaye


Kisi bhi phone ka 1st sim slot 2nd slot se jyada powerful hota hai aur sabhi network providers bhi ye salaah dete hai ki unki sim ko 1st slot me lagaye. Isliye yadi aapki jio sim me internet ya calling ki problem ho rahi ho to aap apni jio sim ko phone ke first slot me lagayen.


#3 Confirm Kare Ki Kya Aapka Phone VoLTE Supported Hai


Yadi aapka phone VoLTE supported nahi hai to aapko jio sim ki calling suvidha kisi bhi tarike se nahi mil sakti. Is sim ki calling service VoLTE based hai jiske liye aapka phone VoLTE supported hona jaroori hai. Yadi aapka phone VoLTE supported nahi hai to aap kisi bhi trick se apne 3G ya 4G phone me internet data ka use to kar sakte hai but calling service ka fayda nahi le sakte.


#4 Network Mode LTE Choose Kare


Aap ye baat to acche se jante hi hai ki ye sirf 4g network support karti hai. Aapka phone 4g hai to bhi sim nahi work kar rahi to iska ye reason bhi ho sakta hai ki aapne apne phone ke network mode ko GSM ya WCDMA se hatakar LTE na kiya ho.
Network mode LTE me karne ke liye ye step follow kare.
Setting > Network setting / More networks > Mobile networks > Network mode me jane ke baad LTE select kare.


To friends ye kuch tips & tricks thi jinki madad se aap apne phone me jio 4g sim yadi nahi chal rahi hai to fix kar sakte hai.
Aapke saath jio 4g sim ko lekar aur bhi koi problem ho rahi ho to aap hamse comment me jaroor pooche, yadi hame uska solution pata hoga to ham aapki madad jaroor karenge aur aap bhi hamari thodi si madad karna chahte hai to is post ko apne friends ke sath share kare.


Go to link download

Read more »

Monday, March 6, 2017

Apne Exiting Mobile Number Ko Jio 4G Me Port Kaise Kare With Preview Offer

Apne Exiting Mobile Number Ko Jio 4G Me Port Kaise Kare With Preview Offer


apne exiting mobile number ko jio sim me port kaise kare

Aap reliance ki jio 4g sim ke baare me to jante hi honge. ye 3 month ka free preview offer de rahi hai jisme unlimited data, call and sms diye ja rahe hai.
Yadi aap apna purana number nahi khona chahte aur usi me ye offer ka laabh uthana chahte hai to ab aap apni idea, airtel, vodafone, bsnl, docomo aur other network ki jo bhi sim aapke paas ho usko aap reliance ki jio 4g sim me port kar sakte hai. port karne ke baad aap jio ke 3 months ke free preview offer ka bhi laabh utha sakte hai.



Apne Exiting Mobile Number Ko Jio Sim Me Port Kaise Kaise Kare




1. Apne phone ka message box open kare aur PORT likhe aur 1900 number par send kare.
2. Ab aapke paas 1901 number se ek message aayega jisme ek unique code hoga uska pritout nikalwa le.


3. Ab apne phone me My jio app download kare aur offer code generate karke uska bhi printout nikalwa le.
4. Ab aadhar card ki photocopy, unique code ka printout, offer code ka printout aur apni ek passport size photo jio ke najdeeki store me jama kar de.

? Jio Ke Najdeeki Store Ka Pata Kaise Kare

Ab aapka kaam ho gaya hai 48 hours ke anadar aapki sim jio me convert hokar activate ho jayegi aur aap apne puraane number par hi 3 months free internet, call and sms ka maja le payenge.



Read Also :
       ? 3G Phone Me Jio 4G Kaise Chalaye
       ? Jio ke recharge plans and offers

Friends aako ye post kaisi lagi, ye post apne friends ke sath bhi share kare.



Go to link download

Read more »

Saturday, March 4, 2017

Reliance Jio 4G Ke Najdeeki Store Kaise Pata Kare

Reliance Jio 4G Ke Najdeeki Store Kaise Pata Kare


Apne area ke jio 4g store ka pata kaise kare

Reliance jio 4g ke baare me to aapne suna hi hoga. har koi jio ki sim chalana chah raha hai, kyoki jio 3 mahine tak free unlimited internet, calling aur sms de rahi hai.

jio sim ke liye users jio store par line laga rahe hain. kuch logo ko apne area ke jio store ke baare me jankari nahi hai. jio ne iske liye bhi suvidha di hai ki aap apne area ke jio store ki location ka pata laga sakte hain aur us store se aasani se jio 4g sim buy kar sakte hain.



Apne Area Ke Jio 4G Stores Ka Pata Kaise Kare


Jio 4g ke stores ka pata karne ke liye in steps ko follow karen -

1. www.jio.com visit karen.
2. Menu open karen.

3. Find a store option choose karen.

4. Apne area ka pincode enter karen aur search karen.

5. Ab aapke area ke sabhi jio store ki list aa jayegi.



Read Also : 3G Android Phone Me 4G Jio Sim Kaise Chalaye

Aapko jis store se sim buy karna hai uska pata isme dekh sakte hain. isme 2 options hain list view and map view. map view se aap sabhi jio stores ko map me dekh sakte hain. aapke najdeek jo bhi store hai waha se aasani se jio 4g sim buy kar sakte hain.



Go to link download

Read more »