Friday, March 10, 2017

Android Phone Me Root Access Hide Kaise Kare Bina Unroot Kiye

Android Phone Me Root Access Hide Kaise Kare Bina Unroot Kiye


How to hide root access on android phone

Friends yadi aapka phone rooted hai to ye post aapke bohot kaam ki hai. Yadi aapka phone rooted nahi hai to sabse pehle ye post read kijiye - android phone without pc root kaise kare. Ham aapko is article me batayenge ki root access hide kaise kare.


Friends shayad aapko pata hoga ki rooted phones me bahut se apps khaskar wallet apps and banking apps support nahi karte. Kyoki un apps ke developer ki thinking rehti hai ki aap us app ka galat use bhi kar sakte hai aur ye baat true bhi hai ki rooted phone se bohot si cheeje possible hai.


Shayad aapke saath bhi kabhi aisa mouka pada ho ki aapke phone me koi app isiliye work na kia ho sirf isiliye ki aapka phone rooted hai. Kabhi kabhi is problem se pareshaan hokar kuch log phone ko unroot kar dete hai aur fir jaroorat padne par fir se root karte hai. Isme kaafi samay kharaab ho jata hai.

Mai aapko yaha ek chhote se 70 kb ke app ke bare me bataunga jisse aap root access hide kar ke aasani se koi bhi app run kar sakenge. Ye app root access hide kar deta hai jisse koi bhi app track hi nahi kar payega ki aapka phone rooted hai. Jab aapko jaroorat ho aap isme se hide kar sakte hai aur jaroor khatam ho jane par dobara unhide kar sakte hai. To chaliye jante hai.

Android Phone Me Root Access Hide Kaise Kare


1. Hide my root app play store se install kare. Iski download link neeche bhi di hui hai.
Download

2. Install hone ke baad open kare.

3. Hide su binary option me click kare.

4. Ab aapse root access poocgega use allow kare.

5. Ab aapko successfully ka message show hoga usme ok kare.

Iske baad root access successfully hide ho jayega. Yadi aapko ise unhide karna ho to hide option ke just neeche restore su binary ka option me click kare.

Note: Ye trick kingroot jaise apps me work nahi karti.


Friends aapko ye post kaisi lagi hame comment me bataye aur aapko is post se related koi problem ho to bhi comment me pooch sakte hai. Ye post apne friends ke sath share kare. Hamare blog ki new updates facebook me pane ke liye hamara facebook page like kare aur email me pane ke liye hamara blog subscribe kare.


Go to link download