Sunday, March 12, 2017

TWRP CWM Custom Recovery Kaise Install Kare Without PC

TWRP CWM Custom Recovery Kaise Install Kare Without PC


cwm / twrp custom recovery kaise install kare


Friends aapko is post me batayenge ki TWRP ( Team Win Recovery Project ) / CWM ( Clock World Mode ) recovery apne android phone me kaise install kare. Yadi aap jante hai ki custom recovery kya hoti hai aur iski kya jaroorat hai to aapko iska use maalum hoga aur aap samajh gaye honge ki ye post kislie hai but yadi aap nahi jante to sabse pehle aapke liye ye janna jaroori hai.




Hamare phone me jo recovery hoti hai wo stock rom ke sath already installed aati hai jise stock recovery kehte hai. Iska ka use ham phone ko factory reset karne, wipe data, cache clear etc. ke liye karte hai. Apne phone ko recovery mode me dalne ke liye sabse pehle apna phone switch off kare iske volume up + home + power key 5-6 second tak press kare rakhe ( kuch phone ki process alag hoti hai. Jaanne ke liye apne phone ke model number ke aage recovery mode likhkar google me search kare )  iske baad aap recovery mode me chale jayenge.


Custom recovery third party hoti hai jo ki developers ke dwara develop ki jati hai. Isme kuch extra features hote hai. Yadi aapke phone me custom recovery hai to aap koi bhi rom bina pc ki madad ke apne phone se hi install kar sakte hai. Jaise aapka phone kitkat hai to aap lolipop rom download karke bina pc ke apne phone se hi custom recovery ki madad se lolipop ki zip file ko install karke apne phone ko lolipop bana sakte hai, apne phone ki purani rom, data, boot screen ka backup bana sakte hai. Aise aur bhi bohot se works hai jo ki aap stock recovery me nahi kar sakte but iski madad se aasani se kar sakte hai.



Waise to bahut si custom recoveries internet me uplabdh hai but 2 hi sabse famous hai, sabse jyada use hoti hai aur jinke features bahut acche hai wo hai 1st TWRP ( TeamWin Recovery Project ) 2nd CWM (ClockWorld Mode ), isliye post me inhi ke baare me bas bataya gaya hai.


CWM Aur TWRP Recovery Me Kya Antar Hai



CWM - CWM ( ClockWorld Mod ) bhi stock recovery ki tarah sound, home aur switch button se work karti hai. Isme sabhi features hai. Isme aap apne phone ke system, file aur old rom ka backup bana sakte hai jisse ki new rom ke installation me kuch problem aane par phir se purana rom restore kar sake. Isme factory data reset kar sakte hai, system reset kar sakte hai aur custom rom bina pc ke install kar sakte hai.

TWRP - TWRP ( TeamWin Recovery Project ) ke features bhi cwm ki tarah hai. Isme kuch extra features bhi hai. Isme aapko time, phone ka battery percentage bhi show hota hai. Rom ke installation, backup aur restore me jyada samay nahi lagta aur koi problem bhi nahi aati hai. Ye touch base par work karti hai. Isme aap sabhi work bina button ka use kare touch ki mada se kar sakte hai. Ye meri favourate hai aur mai iska hi use karta hu. Mai aapko bhi isi ko suggest karunga, aap bhi isi ka use kare.


CWM / TWRP Custom Recovery Kaise Install Kare



Mai yaha aapko 2 methods bataunga. Aap jis method se karna chahe kar sakte hai. Sabse pehle apne phone ko supersu root karna padega. Apne phone ko supersu root kaise kare post read karke aap apne phone ko root kar sakte hai.

First method -:



1. Google me apne phone ka model number likhkar TWRP ya CWM jo bhi install karna hai wo likhe aur xda likhe.
Example - smasung j7 twrp xda
2. Ab aapko search result me xda developer ki site ki post show hogi use open kare.
3. Ab waha se recovery ki file download kare jo ki zip me hogi.
4. Ab es file explorer ki mada se us download ki hui zip ko open kare.
5. Ab usme aapko recovery.img file show hogi use select karke extract kare.
6. Rashr app playstore se download kare.
Download Rashr
7. Install hone ke baad open kare aur root access puchega use grant kare.
8. Upper right corner me backup option diya hai waha se apni purani recovery ka backup banaye jisse ki kuch problem aane par ya jaroorat padne par restore kar sake.
9. Recovery from storage option select kare.
10. Ab jis folder me recovery.img file extract kiye the waha se ise select kare.
11. Ab aapko ek warning messege show hoga waha yes select kare.
12. Ab flash ki process 4-5 second chalegi uske baad aapse reboot option show hoga to usme reboot recovery option select kare.
13. Ab aapka phone reboot hoga aur phone on hone par recovery mode me chale jayega. Aap dekhenge ki aapke phone me custom recovery successfully install ho chuki hai. Ab waha se reboot option choose karke apne phone ko on kare.
Done



Second Method -:


1. Playstore se flashify app download kare.
Download Flashify
2. Install hone ke baad open kare aur root permission grant kare.
3. Backup / restore option se current recovery ka backup banaye.
4. Iske baad flash option me jakar recovery image option choose kare.
5. Ab waha par downloar twrp, download cwm etc. options diye hai. Inme se jo bhi aapko download karna hai us option ko choose kare.
6. Ab apne phone ka model number choose kare.
7. Ab .img file ka version choose kare. ( new version ki hi file download kare )
8. Choose karne ke baad file ko find karne ke liye loading hogi iske baad download option show hoga to download kare.
9. File download hone ke baad flash ka option aayega usme yes select kare.
10. Ab reboot ke options aayenge to usme reboot recovery option select kare.
11. Ab aapka phone reboot hone ke baad recovery mode me chala jayega. Ab aap dekhenge ki aapke phone me aapki select ki hui custom recovery install ho gayi hai. Waha se reboot option select kare. Iske baad aapka phone on ho jayega.
Done



Last Words


TWRP aur CWM me sabse best TWRP hai aur ye sabse popupar hai. Iska use adhiktar hota hai aur ye operate karne me bhi easy hai, to me aapko isi ko recommend karunga.

First method jyada easy hai. Second method me flashify app ka use kiya gaya hai jo ki kuch phones me work nahi karta isliye sabse pehle first method hi try kare. First method me koi problem hoti hai to hi second method use kare.



Aapko ye post kaisi lagi hame comment me batayen, is post se related koi question ya pareshani ho to aap hamse comment me pooch sakte hai. Ye post apne friends ke sarh bhi share kare. Hamare blog ki new post email dwara pane ke lie hamara blog subscribe kare aur fb par pane ke liye hamara facebook page like kare.


Go to link download