Sunday, April 2, 2017
Caller ID Changer App Me Free Unlimited Credits Kaise Paaye
Caller ID Changer App Me Free Unlimited Credits Kaise Paaye
Friends pichli post me hamne aapko bataya tha ki kisi bhi number se kisi ko bhi call kaise kare. Yadi aapne pichli post read nahi kiya hai to pehle use read kare nahi to ye post aapke koi kaam ki nahi hai hai. Aur yadi aapne pichli post read kar liya to ise continue rakhe.
Jaisa ki maine pichli post me bataya tha caller id changer app ki madad se kisi bhi number se kisi ko bhi call kaise kare. Isme ek problem ye thi ki isme balance sirf 0.90 milta hai jisse aap sirf 2-3 minute ki call kar sakte hai. Aur yadi aapko aur balance chahiye to money pay karke buy karna hota hai jo ki bohot hi costly hai.
Yadi aap bina paise kharch kiye iska fayda uthana chahte hai to ye post aapke bohot kaam ki hai kyoki is post me ham aapko batayenge ki isme jo free balance 0.90 milta hai use baar baar unlimited time kaise le sakte hai.
Ye sirf ek chhoti si trick se possible hai. Bas iske liye aapko thodi si mehnat karna padega. Aapne ye kahawat to suna hi hoga ki " kuch paane ke liye kuch khona padta hai ". Isliye yahi samajh lijiye ki bina paise kharch kiye free balance chahiye to thodi si mehnat hi sahi. To chaliye mai aapka samay na lete hue apne topic par aata hu.
Caller Id Changer App Me Unlimited Free Balance Kaise Paaye
Iske liye aapko ek application ki jaroorat padegi jiska naam hai parallel space. Is app ki madad se ham kisi bhi app ka clone banakar usko 2 kar sakte hai. Ek phone me 2-2 whatsapp, messenger, instagram etc. kaise chalaye post me maine already bata chuka hai ki parallel space ka use kaise karte hai. Yadi aapko ise use karte nahi aata to aap us post ko read karke ise use karne ki method jaan sakte hai.
1. Parallel space app se caller id changer app ko double kare.
2. Ab parallel space app se double kiya hue us app open kare.
3. Ab aap dekhenge ki isme fir se 0.90 free balance aa chuka hai.
4. Yadi ye bhi khatam ho jaye aur dobara free balance chahiye to apne phone ki setting me jaye, iske baad application manager me jakar parallel space app me click kare aur clear data kare.
5. Clear data karne ke baad parallel space app fir se open kare aur dobara caller id changer app ka clone banaye.
6. Ab fir se parallel space app me jakar use open kare.
7. Aap dekhenge ki fir se 0.90 balance aapko mil chuka hai.
8. Isi method ko baar baar repeat karke aap baar baar unlimited time free balance 0.90 pa sakte hai.
Friends aapko ye post kaisi lagi hame comment me bataye. Ye post apne friends ke sath share kare. Hamare blog ki new updates facebook me pane ke liye hamara facebook page like kare aur email me pane ke liye hamara blog subscribe kare.
Go to link download