Thursday, April 27, 2017
1 Android phone me 2 2 whatsapp messenger fb etc kaise chalate hai
1 Android phone me 2 2 whatsapp messenger fb etc kaise chalate hai
How to run 2 whatsapp, 2 facebook app, 2 messenger etc. in 1 mobile ?
Ek mobile me 2 whatsapp, 2 fb, 2 messenger etc. kaise chalate hai ?
Ye sawal mujhse bohot se peoples ne poocha. aaj ham isi trick ke bare me janenge. wese to aap is question ko Google me search karenge to aapko bohot se results milenge but unme se aapko 20% post hi esi milengi jisme is bare me true jankari ho, baaki ki sab f5ake rehti hai. lekin me aaj aapko jo trick batane ja raha hu wo 100% work karegi.
aaj ki generation ke lagbhag 80% whatsapp ka use karte hai, lekin ham ise ek phone me ek hi number se chala sakte hai, jabki android phone dual sim ke rehte hai. theek isi prakar fb me bhi sabhi ke 2-3 account rehte hai. is wajah se ham sochte hai ki kaas ye apps do - do rehte to kitna accha hota. is trick se aap chahe to aapke phone ke jitne bhi apps hai sabki 2 - 2 copy kar sakte hai.
1 Phone me 2 - 2 whatsapp, messenger, instagram kaise chalate hai
1. Sabse pehle parallel space app download kare niche di hui Download button me click karke.
2. Download karne ke baad open kare. open karte hi aapke phone ke sabhi installed app show honge.
3. jis app ka clone banana ( double karna ) hai usme click kare.
4. Click karte hi us app ka clone ban jayega.
Also read:
? Facebook messenger me basketball kaise khelte hai.
? Facebook me color text kaise likhte hai.
? Whatsapp me friend ki profile pic change kaise karte hai.
Ab aapko us app ka home screen me shortcut banana hai to us app me long press kar ke rakhe, aapko neeche ki taraf do option show honge. 1) Create shortcut 2) Delete . aap create shortcut me us app ko swipe kar de. yadi aapko shortcut nahi banana hai to aap Parallel space app open karke bhi us app ko chala sakte hai. isi tarah aapko jis - jis app ka aapko clone banana hai aap bana sakte hai.
Parallel space app ke features
1. Isme pattern protection diya hua hai.
2. Bina rooted phone me bhi work karta hai.
3. Task manager bhi diya hua hai is app me.
4. legal app hai, Google play store me bhi uplabdh hai.
5. kisi bhi app ka clone without loading ke banta hai.
6. jis app ka bhi clone banana ho bana sakte hai. same process hai.
Friends is post se related koi bhi pareshani ho to aap hamse comment me pooch sakte hai. Ye post apne friends ke sath bi share kare aur hamara Fb page like kare.
Go to link download