Sunday, April 23, 2017
Facebook messenger ki top 10 hidden tricks hindi me
Facebook messenger ki top 10 hidden tricks hindi me
Hello friends, me is post me aapko facebook messenger ki kuch hidden tricks batane wale hai, jo aapke kafi kaam me aa sakti hai.
facebook ke messenger app me bohot si hidden cheeze hai jo shayad hi aapko pata ho.
yadi me aapko sabhi tricks ke bare me batau to mujhe lagbhag 5000 words ki post likhna padega. isliye han aapko yaha kuch useful tricks hi batayenge.
facebook ke messenger app me bohot si hidden cheeze hai jo shayad hi aapko pata ho.
yadi me aapko sabhi tricks ke bare me batau to mujhe lagbhag 5000 words ki post likhna padega. isliye han aapko yaha kuch useful tricks hi batayenge.
Facebook messenger ki hidden tricks hindi me
1. Add Nickname
Messenger me ham kisi bhi friend ka apni suvidha ke liye nickname add kar sakte hai, kabhi - kabhi ek hi name ke 2-3 friends hote hai ya na bhi ho to bhi aap apni marji se apne manpasand name ko apne friend ka nickname bana sakte hai.
Messenger me nickname kaise add karte hai
Messenger app ko open kare aur jis friend ka nickname add karna hai uske saath conversation launch kare. conversation launch karne karne ke baad upar ki taraf right side me jo Thread detail ka option diya hai usme click kare. (screenshot dekhe)
thread detail option open karne ke baad aapko kuch options show honge unhi me nickname ka bhi option diya hai. nickname ke option me click kare aur aapko jo bhi nickname add karna hai use add karke save kar de.
nickname add karne ke baad aapko us friend ke orignal name ki jagah aapke dwara add kiya gaya nickname hi show hoga.
nickname add karne ke baad aapko us friend ke orignal name ki jagah aapke dwara add kiya gaya nickname hi show hoga.
2. Random Cute
Messenger me aap apne kisi friend ko bina image choose kare simple se messege ko type karke cute si pic send kar sakte hai.
Messenger me random cute pic kaise send kare
Jis friend ko pic send karna hai uske saath conversation launch kare aur messege box me type kare @dailycute aur send kare. messenger aapke liye khud hi ek cute pic send kar dega.
3. Change Conversation Color
Messenge ki conversation ka default color skyblue rehta hai but aap yadi kisi friend ke saath ki conversation ka color change karna chahe to kar sakte hai.
Messenger me conversation color change kaise karte hai
Jis friend ke saath ki conversation ka color change karna hai uske saath conversation launch kare aur thread detail ka option open kare. thread detail option karne baad kuch options diye hue hai unhi me color ka option diya hua hai. color option open kare aur jo bhi color rakhna hai conversation ka use choose karke save kar de.
4. Play Basketball
Messenger ne 13 jun 2016 ke updated version me basketball game add kiya hai. iske liye kisi bhi third party app ko install nahi karna hai. is game ke baare me detail se jaanne ke liye ye post padhe : Facebook messenger me basketball kaise khelte hai.
5. Play Soccer
Messenger ne 13 jun 2016 ke updated version me basketball ke sath soccer game bhi add kiya hai. iske liye bhi koi third party app install nahi karna hai. iske baare me detail se jankari ke liye ye post padhe : Facebook messenger me soccer kaise khelte hai.
6. Play Chess
Ye messenger ka hidden game hai jiske baare me messenger ne apne users ko kisi bhi prakar ki news, notification ya messege nahi diya hai. is game ko khelne ke liye bhi kisi third party app ki jaroorat nahi hai. is game ko khelne ke liye bas kuch simple si commands ka use karna hai. is game ke baare me detail se jankari ke liye ye post padhe : Facebook messenger me chess kaise khelte hai.
7. Voice and Video Call
Messenger me voice aur video call karne ka bhi option hai. jiski madad se aap apne fb friend ko voice aur video calling kar sakte hai but iske liye aap jisko call karenge uske paas bhi messenger hona chahiye.
Messenger me voice and video call kaise karte hai
jis friend ko voice call karna uske sath conversation launch kare aur oopar ki taraf right side me phone ke icon me click kare.
video calling karne ke liye phone ke icon ke side me hi camcorder ka icon hai usme click kare.
video calling karne ke liye phone ke icon ke side me hi camcorder ka icon hai usme click kare.
8. Group Messeges
Messenger me aap apne family members ya kuch friends ka group bana sakte hai aur group messeging kar sakte hai. group ko ek accha sa name bhi de sakte hai.
Facebook messenger me group kaise create karte hai
Messenger me group create karne ke liye kisi bhi friend ke sath conversation launch kare aur thread detail ke option me click kare. thread detail option open hone ke baad create group option me click kare. uske baad group ka name rakhe aur group me members add kare.
9. Share location
Messenger ham apni location apne fb friend ke sath share kar sakte hai.
Facebook messenger me location kaise share karte hai
Sabse pehle apne phone ki location on kare fir jis friend ko location share karna hai uske sath conversation launch kare aur neeche taraf kuch options diye hue hai jisme se ek option me three dots (...) bane hai usme click kare. option open hone ke baad location me click kare uske baad send me click kare.
10. Create Shortcut
Messenger me aap chahe to kisi bhi friends ki conversation ka homepage me shortcut bana sakte hai.
Facebook messenger me conversation ka shortcut kaise banate hai
Messenger open kare aur jis conversation ka shortcut banana hai usme long press kare. long press karne ke baad kuch options show honge unme se create shortcut ke option me click kare.
Friends ummeed hai inme se kuch tricks aapke kaam aayengi. esi aur bhi tricks pane ke liye hamara blog regular visit kare aur hamara fb page like kare.
Go to link download