Sunday, April 23, 2017

Kisi Bhi Mobile Number Se Kisi Ko Bhi Call Kaise Kare

Kisi Bhi Mobile Number Se Kisi Ko Bhi Call Kaise Kare


How to call anyone with any mobile number

Hello friends, Yadi aap kisi bhi number se kisi ko bhi call karna chahte hain aur aap ye trick dhoondh dhoondhkar pareshaan hai to aap bilkul sahi jagah par aaye hai. Kyoki ham aapko yaha par aisi trick batayenge jo 100% worked hai aur legal bhi hai. Is method ko call spoofing kehte hai.


> International United States Ke Number Se Whatsapp Account Kaise Banaye

Call Spoofing Kya Hai ?



Kisi bhi mobile number se ya apne manchahe mobile number se world ke kisi bhi number par call karne ki method ko call spoofing kehte hai. Ye work illigal kehlata hai aur use hackers log karte hai.

Ham yaha par jo trick bata rahe hai wo bilkul legal hai. Iske liye aapko kisi extra knowledge ya kisi programming skill ki jaroorat nahi hai. Yah sirf ek android app ke dwara sambhav hai. Is app ka naam caller id changer hai. Ye app play store par uplabdh nahi hai isiliye ise aap is post me di hui link se download kar sakte hai.

Note - Ye trick only fun and knowladge purpose ke liye hai isliye iska use sirf fun ke liye hi kare. Is trick ka use kisi illigal work ke liye ya aise purpose se na kare ki kisi dusre ka ya aapka nuksaan ho. Yadi aap iska use kisi illigal work ke liye karte hai aur aapko kisi bhi prakar ka nuksaan hota hai to iske jimmedar mai aur hindihelpz.com nahi honge, iske jimmedar aap khud honge.

Kisi Bhi Number Se Kisi Ke Mobile Number Par Call Kaise Kare



1. Sabse pehle caller id changer app download kare.

  Download Caller Id Changer

2.Download hone ke baad install kare and open kare.

3. Ab aapko kuch is tarah ki screen show hogi, screenshot me dekhe.

1) Caller id - Isme aapko wo fake number fill karna hai jisse aap call karna hai.
2) To - Isme us person ka mobile number fill kare jise aap call karna chahte hai.
3) Dial - Is button ka use call karne ke liye karte hai.

4) Hang up - Is button ka use call cut karne ke liye karte hai.
5) Sound icon - sound icon me tap karke call ko loud speaker mode me kar sakte hai.
6) Balance - Isme aapko balance show hoga. First signup me aapko sirf 0.90 credits milte hai.
7) Setting icon - Isme click karne ke baad voice change option se apni voice ko male ya female me change kar sakte hai and play store se money pay karke credits buy kar skate hai.

Caller Id App Ke Disadvantage



1. Iska sabse bada disadvantage ye hai ki isme sirf 0.90 free balance milta hai jisse ki sirf 2-3 minute ki hi calling kar sakte hai. Yadi aur balance chahiye to money pay karke buy karna padta hai jo ki bohot costly hai.
But aapko pareshaan hone ki jaroorat nahi hai. Ham next post me ek trick batayenge jisse ki aap iske free balance ka fayda baar baar le sakte hai.

2. Iska dusra sabse bada disadvantage ye hai ki iski voice quality bekaar hai jiski wajah se baat karte samay clear voice nahi aati.

3. Iska teesra disvantage ye hai ki kuch person iska use dusro ko nuksaan pahuchane ke liye ya wrong purpose ke liye karte hai jiski wajah se unhe kabhi kabhi police case ya dusri pareshaniyo ka shikaar ban jate hai.

Caller Id App Ke Fayde


1. Iska sabse bada fayda to khud hi jaan gaye honge ki isse aap kisi bhi mobile number se kisi bhi person ke mobile number par call kar sakte hai.


2. Isme jaroori nahi caller id 10 digit ka hi fill kare. Isme 10 digit se kam ya usse jyada ka bhi number fill kar sakte hai.

3. Caller id me country code +91 ki jagah other country ka bhi set kar sakte hai.

4. Is chhoti si trick se aap apne friends ko surprised kar sakte hai aur apne friends ke beech famous ho sakte hai.

Note - Ye trick only fun and knowladge purpose ke liye hai isliye iska use sirf fun ke liye hi kare. Is trick ka use kisi illigal work ke liye ya aise purpose se na kare ki kisi dusre ka ya aapka nuksaan ho. Yadi aap iska use kisi illigal work ke liye karte hai aur aapko kisi bhi prakar ka nuksaan hota hai to iske jimmedar mai aur hindihelpz.com nahi honge, iske jimmedar aap khud honge.

Friends aapko ye post kaisi lagi hame comment me bataye. Ye post apne friends ke sath share kare. Hamare blog ki new updates facebook me pane ke liye hamara facebook page like kare aur email me pane ke liye hamara blog subscribe kare.


Go to link download