Showing posts with label prisma. Show all posts
Showing posts with label prisma. Show all posts
Monday, April 17, 2017
Prisma App Ki In Tricks Se Aasani Se Kare Editing
Prisma App Ki In Tricks Se Aasani Se Kare Editing

Present time hai har android user ki jubaan me prisma aur pokemon go app to acche se rate hai aur aap bhi acche se jante honge prisma photo editor ke bare me. yadi nahi jante hai to ye post padhe - Prisma photo editor kya hai.
Wese to ye apni khoobiyon ki wajah se ye kaafi famous hai lekin iski kuch kami hai jo aapko jaanna chahiye aur kuch tricks bhi hai jisse aap is se aur bhi better photo editing kar sakte hai. to chaliye jante hai-
Prisma Photo Editor Ki Tricks
1. Server Issue ("prisma is over capicity") Ko Fix Kare
Prisma app ki sabse badi problrm yahi hai ki jab bhi photo me prisma ka koi painting effect daalo to wo "prisma is over capicity" show karta hai ya fir bahut jyada time leta hai. ye problem sabhi ko hai. ise ham kuch tariko se kuch had tak sahi kar sakte hai.
1) Multitaking na kare matlab ki ham koi bhi app chalate hai to use minimize kar dete hai aur doosra app chalane lagte hai to sabse pehle task clear kare aur prisma ko single hi chalaye.
2) Wi-fi ka use kare. yadi aapke paas wi fi connection se ho to wi-fi ka use kare ya to fast net 4g ya 3g ka use kare to jyada accha rahega kyoki isme server problem jyada hoti hai.
3) Prisma ka use ese samay me kare jis waqt jyada log online na rehte ho kyoki prisma ka use bahut se peoples kar rahe hai jisse ye down ho jata hai.
? Picsart Me Custom Font Kaise Add Kare.
? Android Phone Se Photo Background Remove Kaise Kare.
? Android Phone Se Photo Background Remove Kaise Kare.
2. Prisma Ka Watermark Remove Kare
Prisma se ham jab bhi koi photo edit kar ke save karte hai to usme neeche prisma ka watermark bhi add rehta hai to chaliye jaante hai prisma ka watermark kaise hataye-
1) Prisma app open kare.
2) Ab usme aapko 3 icon show honge flash, camera rotate aur setting ka icon. inme se setting icon choose kare.
3) Add watermark ko off kare.
3. Save Images Automatically
Yadi aapke paas photos ka bahut bada collection hai ya aap kisi photo me prisma ke bahut se effects ka use karna hai to aapka har ek filter apply karne ke baad save karna padta hai but is option se aap jaise hi filter apply karenge aapki photo automatic save ho jayegi.
1) Prisma app open kare.
2) Setting open kare.
3) Save artworks automatically option ko on kare.
1) Prisma app open kare.
2) Setting open kare.
3) Save artworks automatically option ko on kare.
To friends ye thi prisma ki kuch tricks, yadi aapko bhi prisma ki koi trick maalum ho to hame comment me bataye is post me use add kar diya jayega.
Ye tricks apne friends ke sath bhi share kare aur esi hi tricks apne fb wall par pane ke liye hamara facebook page like kare.
Go to link download
Monday, March 20, 2017
Play Store Me Aa Gaya Prisma Photo Editor Android User Ke Liye
Play Store Me Aa Gaya Prisma Photo Editor Android User Ke Liye

Android users ka bahut dino ka intezar ab khatm hua kyoki prisma app ab playstore me bhi uplabdh hai.
Friends aap logo ko bata de ki prisma app sabse pehle iphone users ke liye bas uplabdh tha. is app ko iphone ke liye bhi launch hue abhi jyada samay nahi hua hai aur ye bahut jyada famous ho gaya hai.
7 Kuch dino pehle android users ke liye sirf iska beta version bas uplabdh tha jo acche se work nahi kar raha tha, lekin ab yah play store me uplabdh hai. ab iska lutf android users bhi utha sakte hai.
Isko sabse jyada pasand kare jane ki wajah hai iske effects, isme bahut sare acche accge paintings effects hai jo aapki photo ko ek alag hi look dete hai. is app ke jaise effects aapko android ke kisi application me nahi milenge.
Prisma ke founder ke mutabik ye app daily lagbhag 7 lakh baar download kiya jata hai. is app ka use 1.55 millions peoples karte hai aur is app ke throw abhi tak lagbhag 400 millions+ photos edit ki ja chuki hai. ab itni baate jaankar aap log andaza laga sakte hai ki ye kitna accha app hoga.
Ye app playstore me 24-06-2016 ko add kiya gaya hai. jaisa ki ye sabse pehle iphone users ke liye launch kiya gaya tha to kuch logo ne playstore me iske name se related fake app bhi upload kar diye hai. aur yadi aap play store me prisma ko search karenge to wo fake apps bhi aate hai. isliye uski downloading link mene yaha di hui hai. aap is link se direct play store se ye app download kar sakenge.

DOWNLOAD PRISMA
Yadi aap logo ko bhi photo editing aur photo me acche acche paintings effect ka shonkh hai to is app ka use jaroor kare. is app me 30 + effects hai.
Friends ye post apne friends ke sath bhi share kare. Aisi hi tips and tricks hindi me fb me pane ke liye hamara fb page like kare.
Go to link download
Subscribe to:
Posts (Atom)