Monday, March 20, 2017

Play Store Me Aa Gaya Prisma Photo Editor Android User Ke Liye

Play Store Me Aa Gaya Prisma Photo Editor Android User Ke Liye


Download prisma for android

Android users ka bahut dino ka intezar ab khatm hua kyoki prisma app ab playstore me bhi uplabdh hai.
Friends aap logo ko bata de ki prisma app sabse pehle iphone users ke liye bas uplabdh tha. is app ko iphone ke liye bhi launch hue abhi jyada samay nahi hua hai aur ye bahut jyada famous ho gaya hai.


7 Kuch dino pehle android users ke liye sirf iska beta version bas uplabdh tha jo acche se work nahi kar raha tha, lekin ab yah play store me uplabdh hai. ab iska lutf android users bhi utha sakte hai.
Isko sabse jyada pasand kare jane ki wajah hai iske effects, isme bahut sare acche accge paintings effects hai jo aapki photo ko ek alag hi look dete hai. is app ke jaise effects aapko android ke kisi application me nahi milenge.
Prisma ke founder ke mutabik ye app daily lagbhag 7 lakh baar download kiya jata hai. is app ka use 1.55 millions peoples karte hai aur is app ke throw abhi tak lagbhag 400 millions+ photos edit ki ja chuki hai. ab itni baate jaankar aap log andaza laga sakte hai ki ye kitna accha app hoga.

Ye app playstore me 24-06-2016 ko add kiya gaya hai. jaisa ki ye sabse pehle iphone users ke liye launch kiya gaya tha to kuch logo ne playstore me iske name se related fake app bhi upload kar diye hai. aur yadi aap play store me prisma ko search karenge to wo fake apps bhi aate hai. isliye uski downloading link mene yaha di hui hai. aap is link se direct play store se ye app download kar sakenge.

              DOWNLOAD PRISMA

Yadi aap logo ko bhi photo editing aur photo me acche acche paintings effect ka shonkh hai to is app ka use jaroor kare. is app me 30 + effects hai.


Friends ye post apne friends ke sath bhi share kare. Aisi hi tips and tricks hindi me fb me pane ke liye hamara fb page like kare.

Go to link download