Saturday, March 11, 2017

Android Phone Ko Without PC Root Kaise Kare For All Android Phone

Android Phone Ko Without PC Root Kaise Kare For All Android Phone


How to root android phone without pc .

Hi friends, Is post me ham aapko batayenge ki android phone ko root kaise karte hai bina pc ke. Aap logo ne mobile root ke baare me suna hi hoga. Yadi aap nahi jante honge to ham aapko is post me root ki poori jankari denge ki mobile rooting kya hoti hai, iske kya fayde hai, kya nuksaan hai.

Yadi isko simple shabdo me kahe to aap mobile ko root karke uske saath full customization kar sakte hai.

Mobile Rooting Kya Hota Hai


Root ka matlab hindi me ??? hota hai. Aap apne phone ko root karke apne phone ki ???  tak ja sakte hai. Apne phone ke OS ( operating system ) ke sath changing kar sakte hai, Jo ki aap without rooted phone me nahi kar sakte.

Mobile Ko Root Karne Ke Fayde Aur Nuksaan




Mobile ko root karne ke fayde to bohot hai but kuch nuksaan bhi hai jo ki aapke lie jaanna jaroori hai.

Fayde


1. Pre - installed Apps Ko Uninstall Kar Sakte Hai

Hamare phone me bohot se apps pehle se installed aate hai, jinme se kuch apps hi kaam ke hote hai aur baaki ke hamare phone ki storage & ram khaate hai. Ye apps unistall bhi nahi hote hai but phone ko root karne ke baad aap aasani se inhe uninstall kar ke apne phone ki ram and speed increase kar sakte hai.

2. Install Rooted Apps

Aise bohot se apps hai jo ki sirf rooted phone me bas install hote hai aur inke features bhi without rooted phone se acche hote hai. Example ke liye screen recorder app, screen recorder apps sirf rooted phone me work karte hai. Kuch screen recorders without rooted phone ke lie bhi aate hai but kuch khaas features nahi rehte hai.



3. Ad Block Kar Sakte Hai

Android phone ke 70% se jyada apps me ads show hote hai jo ki phone ki battery ke saath saath data ki bhi khapat karte hai aur app ko run karne me bhi problem hoti hai. Rooted phone me sabhi apps ke ads block kar sakte hai, jis se un apps me dobara ads show nahi honge.

4. Mobile Ki Speed Increase Kar Sakte Hai

Yadi aapka phone hang hota hai to aap apne phone ko root karke usme se kaam na aane wale system ke apps uninstall karke aur ads block karke apne phone ki speed increase kar sakte hai.

5. Phone Ki Battery Life Increase Kar Sakte Hai

Android phone ke bohot se system apps koi kaam ke nahi hote hai aur wo background me work karte hai jisse battery ki khapat hoti hai. Apne phone ko root karne ke baad aap aise apps ko uninstall karke apne phone ki battery life increase kar sakte hai.
              
        Ye sab points ke alawa aur bhi bohot se work hai jo ki sirf rooted phone me bas kie ja sakte hai. Kyoki phone ko root karne ke baad phone ke UI ( user interface ) par hamara full control hota hai. Yadi aapko hacking seekhna chahte hai to bhi aapko rooted phone ki jaroorat padegi.

Nuksaan


1. Phone Dead Ho Sakta Hai

Waise to rooting ek safe process hai but kabhi kabhi phone root karte samay brick ho jata hai. Aise cases bohot kam hote hai but fir bhi phone root karte samay sabhi instructions carefully follow kare.

2. Warranty Problem Ho Sakti Hai

Bohot se phone rooting allow nahi karte hai, kyoki isse aap phone ke root ( ??? ) tak ja sakte hai aur phone ki security ko bhi nuksan pahucha sakte hai. Bohot se phone aise bhi hai jo rooting allow karte hai.
Yadi aapka phone warranty period me hai aur aapka phone rooting allow nahi karta hai to phone ko root karte time ya root karne ke baad kabhi bhi aaoke phone me koi problem hoti hai to aap warranty ka fayda nahi utha sakte hai.

3. Only Custom Rom Install Kar Sakte Hai

Sabhi mobile compenies new updates deti rehti hai jisse aap directly apne phone ko update kar sakte hai but phone root karne ke baad aapko company se upadate nahi milenge but aap custom roms ki madad se apne phone ko update kar sakte hai.



4. Virus Attack Aasani Se Ho Sakta Hai

Jaisa ki mene aapko bataya ki phone root karne ke baad ham mobile ki jad tak ja sakte hai theek waise hi yadi koi person aapke phone ki jad tak koi virus inject karna chahe to kar sakta hai. Waise to virus without rooted phone me bhi inject kiye ja sakte hai. Yadi aapko pata hi nahi hai ki jo app aap install kar rahe hai usme virus hai ya nahi to aapka phone rooted ho ya na ho aap iske shikaar ho jayenge. Isile unknown email, message se aaye hue kisi bhi app ko ya link ko lalach me aakar install and open na kare.

Android Phone Ko Bina PC Ke Root Kaise Kare




Waise to pc ki madad se koi bhi phone aasani se root ho jata hai but without pc ke kai phone me thodi problem hoti hai. Ho sakta hai ki is method se aapka phone root na ho Islie mai yaha aur bhi kuch apps ki link neeche diya hu aap unhe bhi try kar sakte hai. Method batane se pehle kuch requirements hai jo ki aap apne phone ko root karne se pehle poori kar le.

Requirements :


1. Internet connection
2. 60% battery
3. Some risk ?

Mobile Phone Root Karne Ke Liye Methods


1. Kingroot app install kare aur open kare.
Download Kingroot
2. Check for root button par click kare.
3. 5-10 minute ki loading lega uske baad aapka phone reboot hoga.
    Itna karne ke baad aapka phone successfully root ho jayega.



Apps For Root :


1. Kingroot
2. Framaroot
3. I-Root
4. Vroot
5. Kingoroot
6. Z4Root
7. CF root
8. Towelroot

Extra Method :


Waise to inme se kisi na kisi app se aapka phone root ho hi jayega lekin yadi nahi hua to aap is step ko follow kar sakte hai.
1. Google.com open kare.
2. Search box me type kare " how to root mobile name without pc ". Mobipe name ki jagah apne phone ka name + model nu. likhe aur search kare.
3. Aapko jo results show honge unhe open kare aur unke steps follow kare.



Aapko ye post kaisi lagi hame comment me batayen, is post se related koi question ya pareshani ho to aap hamse comment me pooch sakte hai. Ye post apne friends ke sarh bhi share kare. Hamare blog ki new post email dwara pane ke lie hamara blog subscribe kare aur fb par pane ke liye hamara facebook page like kare.


Go to link download