Showing posts with label karte. Show all posts
Showing posts with label karte. Show all posts
Saturday, April 8, 2017
Debit card kya hai debit card ka use online transaction ke liye kaise karte hai Full guide
Debit card kya hai debit card ka use online transaction ke liye kaise karte hai Full guide
Bohot se log isi confusion me rehte hai ki debit card kya hai? Atm card ko hi debit card kaha jata hai. aap ye to jante hi hai Atm/debit card ka use Atm machine se paise nikalne ke liye kaise kiya jata hai. Lekin ham is post me janenge ki Debit card ka use online transaction karne ke liye kaise karte hai. debit card kaise banwate hai, iska use kaha-kaha karte hai, aur is ke kya-kya fayde hai.
Iske pehle ham jaan lete hai ki debit card ka use ham kaha-kaha kar sakte hai.

Debit card ka use kisliye kiya jata hai
Jaisa ki mene aapko bataya Debit card ka use online transaction ke liye kiya jata hai.
1. Online shoping ke liye kare Debit card ka use
Aap sabhi khud jante hai aur dekh rahe honge ki online shoping ka craze kitna badh gaya hai. Online shoping ke liye adhiktar Amazon, flipkart, snapdeal, Homeshop18 jesi site ka use kiya jata hai.In site se yadi ham koi samaan buy karte hai to kuch samaan me hame Cash on delivery ka option milta hai. Kuch samaan buy karne ke liye Cash on delivery ka option nahi milta to ese me hame online banking ka use karna padta hai jiske liye aap debit card ka use kar sakte hai.
2. Online recharge aur bill payment ke liye
Yadi aapko apne mobile, Dth me recharge karana ho ya postpaid sim ka bill paid karna ho to aap debit card ke use se ye kaam ghar bethe kar sakte hai.online recharge ke liye aap Paytm, mobikwik aur freecharge jaisi website aur application ka use kar sakte hai.3. Apni website/blog ke liye kare debit card ka use
Yadi aapki website/blog hai to aapko apni website ke liye Domain, hosting aur other cheez buy karne ke liye debit card ka use kar sakte hai.4. Other work ke liye
Aap yadi apni study ke liye ya job ke liye kisi bhi prakar ka form submit karte hai to aapko uske liye ek nischit payment karna hota hai jiske liye aap debit card ka use kar sakte hai.Aap sabhi itna to jaan gaye honge ki debit card ka use aap kaha aur kis work ke liye kar sakte hai.
Ab ham janenge debit card ka upyog kaise kiya jata hai.
Debit card ka use kaise karte hai online transaction ke liye
Aap jab bhi kisi bhi cheez ke liye payment karte hai to usme payment karne ke liye kuch option diye hote hai.
Example- credit card, debit card, net banking, mobile banking, paypal etc.
In options me se aapko debit card select karna hai uske baad ki process me aapko detail se samjhane ke liye point to point bata raha hu.
Me yaha par paytm ka example de raha hu jisme mene recharge ke liye debit card ka use kiya hai.


1. Card no. me aapko apne debit card ka 16 digit ka number dalna hai jo ki aapke debit card ke front me hi likha hoga. (Image me dekhe)
2. month and year me aapko apne debit card ka expiry month and year likhna hai jo aapke debit card ke front me card no. ke neeche likha hoga. (Image me dekhe)
3. Yaha par CVV code likhna hai. CVV ka matlab hota card verification value hota hai jo ki debit card ke back me likha hota hai. (image me dekhe)
Pay now me click kare
4. Ab ek new page khulega jo ki aapke bank ka page hoga. Isme aapko OTP (one time password) dalna hai. OTP aapke mobile number me aayega jo aapke bankaccount me registered hai.
Debit card kaise banwate hai
Debit card banwana bohot hi aasan hai. Iske liye aap apne najdeeki kisi bhi bank me account banwaye. account 2-3 din me ban jata hai uske baad aap bank jakar atm ka form fill kar ke submit kare.
NOTE- Form me apna mobile number jaroor likhe aur bank account khulwate samay bhi mobile number submit karna na bhoole, kyoki OTP aapke registered mobile number me hi aayega aur bina OTP ke aap transaction nahi kar sakte hai.
atm card ka form submit karne ke 5-10 din ke andar aapko Debit card bank ya postman ke madhyam se mil jayega.
Debit card ke fayde
1. online transaction ke liye sabse accha madhyam hai.
2. aap yadi 18 saal se kam ke bhi hai to bhi Debit card banwa sakte hai. Jabki net banking, mobile banking ya paypal ke liye 18 ka hona jaroori hai.
3. isme id, password bagerah yaad rakhne ki jhanjhat nahi rehti hai. Debit card ke use ke liye card no., card ki expiry date, cvv lagta hai aur ye sab card me hi likha hota hai aur OTP hamare mo. nu. me message ke dwara aa jata hai. jabki net banking, mobile banking ke liye id password yaad rakhna hota hai.
4. Debit card ka use kahi bhi kabhi bhi kiya ja sakta hai.
Friends ummid hai ye jankari aapke liye helpfull sabit hogi. aisi hi jankari email dwara ya fb me pane ke liye hamara fb page like kare aur subscribe kare.
Go to link download
Thursday, April 6, 2017
Android phone me images videos songs and apps hide kaise karte hai
Android phone me images videos songs and apps hide kaise karte hai

Hello friends, Hindi helpz me swagat hai. is post me ham janenge android phone ke images, videos, songs and apps kaise hide (chupate) karte hai. ye bahut hi interested trick hai, aapko apne phone me bas ek third party application download karna hai, is app me security ke liye bahut se features available hai.
Mobile phone bhale hi chhoti device hai but isme aise aise features aate ja rahe hai jis se ham apne bahut se work mobile phone me hi kar sakte hai. yadi aapke paas smartphone hai to aap facebook, whatsapp wagerah to chalate hi honge, ho sakta hai ki aap mobile banking, sms banking and net banking bhi mobile phone ke throw hi karte honge. hamare phone me hamari kuch personal id, document aur images bhi rehte hai to in sab cheezo ko secure rakhne ke liye ye app bahut kaam aa sakta hai. jis se yadi kal ke din aapka phone lost ho gaya to kam se kam aapka personal data to secure rahega.
To chaliye ham aapka jyada samay na lete hue point par aate hai ki mobile se images, videos, songs and apps kaise hide (chupaye) kare.
To chaliye ham aapka jyada samay na lete hue point par aate hai ki mobile se images, videos, songs and apps kaise hide (chupaye) kare.
Android phone se images, videos, songs aur apps kaise hide karte hai
Me aapko step by step bataunga aur saath me screenshots bhi add hai jisme aapko aasani se samajh me aa jaye.
1. Sabse pehle Audio manager download kare play store se ya Download button me click kare.
Download
2. Download karne ke baad open kare. open karne ke baad app ke sabse upar top me 1.5 se 2 second press kare. (image me dekhe)


3. uske baad password ya pin me se koi ek choose karna hai. mene pin choose kiya hai.


4. fir email id fill kare aur ok ki button me click kare.


5. ab fir se upar ki taraf press kare aur jo password aapne choose kiya tha use fill kare.
Also Read:
? Idea internet data plan share kaise kare.
? Facebook messenger ki top 10 hidden tricks.
? Android phone ka pattern lock kaise unlock kare.
? 1 Android phone me 2-2 whatsapp, messenger, fb etc. kaise chalate hai
Also Read:
? Idea internet data plan share kaise kare.
? Facebook messenger ki top 10 hidden tricks.
? Android phone ka pattern lock kaise unlock kare.
? 1 Android phone me 2-2 whatsapp, messenger, fb etc. kaise chalate hai
6. iske baad jo page open hoga usme bahut se options diye hai- image, video, music, app etc.
(me yaha par image ka example de raha hu. baki ki bhi same process hai.)
image option open kare.

(me yaha par image ka example de raha hu. baki ki bhi same process hai.)
image option open kare.

7. ab top me jo + sign bana hai usme click kare.


8. ab jo bhi pictures hide karna hai unhe select kare aur neeche ki taraf hide selected files me click kare.


9. itna karne ke baad images succesfully hide ho jayengi.
Note - Apps hide karne ke liye phone rooted hona chahiye.
Audio manager ke aur bhi features
1. is app ka name audio manager hone ke sath sath iska icon and layout bhi audio manager jaisa hai, jis se koi bhi shaq nahi kar sakta ki ye files hide karne ka app hai.
2. Aap chahe to setting se iska icon change kar sakte hai aur hide bhi kar sakte hai.
3. is app ko open karne ke baad upar 1.5 second press karna hota hai tab password dalne ka option aata hai. aap chahe to iski timing badha sakte hai.
Friends is post se related koi bhi question hai to aap hamse comment me pooch sakte hai.
hamara fb page like kare aur is post ko apne friends ke sath bhi share kare.
hamara fb page like kare aur is post ko apne friends ke sath bhi share kare.
Go to link download
Subscribe to:
Posts (Atom)