Monday, April 3, 2017
Facebook autoliker se hone wale nuksan aur iska upyog kyo na kare
Facebook autoliker se hone wale nuksan aur iska upyog kyo na kare
Facebook auto liker se hone waale nuksaan ka aap shayad anadaza bhi nahi laga sakte. friends aap sabhi to jaante hai ki facebook peoples ko ek-dusre se connect karne ka bahut bada platform hai. ham facebook ka use chatting ke liye karte hai.
Facebook ka use status, posts, photo, video etc. share karne ka craze bhi logon me bohot tezi se badh raha hai, facebook entertainment ke liye bohot accha way mana jane laga hai.
Ye bhi padhe- mcent se free recharge kaise kare
Aajkal normal se people ke bhi facebook ki friend list me 100-500 friend to rehte hi hai. facebook me ham apne thoughts ex.- photo, post, status, video etc. share karte hi rehte hai.
Aur yadi isme 20-30 like and comment milte hai to ham me se kuch log aur shayad aap bhi likes and comment increase karne ke liye auto likers app ya website ka use karne lagte hai. in app/websites se 100-5000 tak likes provide ki jaati hai jise pakar ham khush ho jate hai.
Lekin aapko shayad nahi pata ki auto liker apps/websites kaise work karti hai aur inse hame kya-kya nuksaan ho sakta hai.
Ye bhi padhe- Way2sms se free sms kaise kare
Auto liker kya hai aur ye kaise work karta hai
Auto liker sites posts and pictures ko automatic like karne ka accha tarika hai but is se kaafi saare nuksan hai.auto liker se jab ham fb se login karte hai to wo fb me login karne ke saath-saath hamara personal data bhi chura lete hai. personal data se ye sites hamara token number bhi chura leti hai jiske through ye hamare liye automatic likes generate karti hai.
Ab sawal ye hai ki ye sites token number chura ke auto likes kaise generate karti hai.
Example ke liye maan lete hai ki 50 logo ne auto liker se like karne ke liye fb se login kiya to unke token number chura liye gaye, aur aap matlab 51ve user auto liker se post ya photo me like karenge to unhi 50 logo ki like aapke liye generate ki jayegi aur unhe pata bhi nahi chalega. isi tarah yadi aapne auto liker me log in kiya hai aur koi bhi other vyakti apni post ya photo ke liye auto liker istemaal karega to uske liye aapki like bhi generate ki ja sakti hai matlab aapki profile se uski photo like ho jayegi aur aapko pata bhi nahi chalega.
Auto liker site hamare account se kya-kya chura sakti hai
Facebook ke liye auto like bahut hi risky process hai. iski wajah se aapka fb account disable bhi ho sakta hai.ye sites aapke personal data ka use khudke fayde ke liye karti hai.
chaliye dekhte hai ye sites aapke fb account se kya-kya churati hai.
1) aapki profile picture
2) friends list
3) email address
4) custom friend list
5( messeges
6) friend requests
7) news feed
8) relation ship
9) relationship intrests
10) birthday
11) chat status
12) notes
13) work history
14) status update
15) education history
16) events
17) groups
18) hometown
19) current city
20) photo question
21) religious and political views
22) follows and follower
23) videos
24) websites
25) persional description
26) likes
27) books
28) video activity and game 29) activity and friends
30) relationship
31)interests
Auto liker users ke liye tips
1) apne personal account me autoliker kabhi use na kare.
2) auto liker sites aapka personal data chura leti hai isliye ye aapke fb account ke liye khatarnaak saabit ho sakta hai.
3) ye sites aapke personal data ka use khudke fayde ke liye kar sakti hai.
4) auto like karna facebook ki terms ke khilaaf hai jiske liye facebook team ke dwara aapka account disable kiya ja sakta hai.
to friends kaisi lagi aapko ye jankari. aapko autoliker ke baare me sab samajh me aa gaya hoga ki ye sites kitni harmfull hoti hai. aap ye post padhke autoliker se hone wale nuksaan jaan gaye honge.
ye jankari apne friends se bhi share kare, aur in sites ka shikaar hone se apne dosto ko bhi bachaye.
Go to link download