Monday, April 3, 2017

Facebook Mark Zuckerburg Ne Nahi Ek Indian Ne Banaya Tha

Facebook Mark Zuckerburg Ne Nahi Ek Indian Ne Banaya Tha


facebook ki sacchai, kisne banaya tha

Aapko ye sun ke kuch ajeeb jaroor laga hoga but ye sahi hai ki facebook mark zuckerburg ki nahi balki ek indian person ki den hai. ham is bare me is post ke dwara aapko detail se jankari dene wale hai.



? Ab Facebook Ke Jariye Milega 100000 Rs. Tak Ka Loan

Facebook ek bahut badi social networking site hai jo ki bahut hi kam samay me kaafi popularity haasil kar li hai. facebook ka use lagbhag har internet user karta hai. facebook ka jab bhi jikra hota hai to iske sath mark zuckerberg ka bhi naam juda hota hai. Ho sakta hai ki aapne facebook ke bare me bahut se facts sune honge lekin ye fact sabhi facts se alag hai aur ise sunkar ascharya hona jayaj hai. aapko is baat yakeen nahi ho raha hoga lekin ye post padh ke aapko sach ka pata chal jayega.



? Facebook me profile photo aur cover photo ko combine kaise kare

Facebook Mark Zuckerburg Ne Nahi Ek Indian Ne Banaya Tha



founder of facebook and ceo of sumzero

? Facebook messenger ki top 10 hidden tricks 

Facebook banane ka idea Divya Narendra name ke indian person ne mark ko diya tha, isme divya narendra ke dost bhi shamil the, divya narendra chahte the ki ye sab milkar ek social site banayenge jiska naam "Harvard Connection" hoga. Mark ne isme sirf moukhik roop se madad kiya tha. mark ne kaam poora hone ke baad badi hi chalaki se is site ko hijack kar liya aur february 2004 thefacebook.com naam ka domain register kar liya jise aaj facebook.com ke naam se jana jata hai.

? Facebook me sabhi friend requests ek click me kaise accept kare

Is baat ki sacchai ki pushti is se bhi hoti hai ki Divya Narendra ne 2004 Mark ke khilaaf america ke hi ek court case kiya jise Divya ne jeet liya tha aur mark ko harjane ke tour par divya ko 650 lacs $ dene pade the. lekin divya itne harjane se khush nahi the kyoki us samay facebook ki share market me kimat is hisab se jyada thi, isliye divya ne dubara court me case kiya lekin is baar wo haar gaye the, kyoki court ka kehna tha ki iske pehle case me jo faisla liya gaya tha wo ekdam sahi tha.

? Facebook me color text kaise likhte hai

Itna sab hone ke bawjood divya ne haar nahi mana, unhone 2 year tak investment banker ke tour par kaam kiya aur isi douran unhone sumzero naam ki company banai.

Divya Narendra Ke Baare Me


Wese to divya narendra mool roop se indian hain but hain american, kyoki divya america me hi pale badhe hain.

? Facebook autoliker se hone wale nuksan

Divya ke father and mother doctor hain, we apne bure dino me india chhod kar america me bas gaye the. inke father and mother inhe bhi doctor hi banana chahte the, lekin divya ka sapna entrepreneur banne ka tha aur wo esa karne me safal bhi hue.
Inka birth 18 march 1982 me newyork me hua tha aur aaj unki ek american businessmen ke taur par acchi khasi pehchaan hai. inhone apni study harvard university se compelete ki thi. north western university se inhone law kiya aur kellogg university of management se MBA kiya. Divya abhi Sumzero company ke Ceo hai aur aage bhi bahut kuch karna chahte hain.

Aapko ye jankari kaisi lagi hame comment me batayen.

Go to link download