Wednesday, April 5, 2017

Online Voter Id Card Kaise Banaye Kaise Apply Kare

Online Voter Id Card Kaise Banaye Kaise Apply Kare


online voter id card kaise banwaye ya kaise apply kare

Aap ek indian person hai to aap ye baat acche se jaante honge ki india me voter id ki kya value hai. iski madad se ham vote kar sakte hai aur ye kai jagah par document ke roop me bhi kaam aata hai.

Yadi aapki age 18 year ya is se jyada hai to aap voter id ke liye ghr baithe apply kar sakte hai aur ye suvidha bilkul free hai, mtlb aapko iska kisi bhi prakar charge nahi dena hoga.



Online Voter Id Card Kaise Banaye / Kaise Apply Kare



Iski process jyada lambi nahi hai, aap ise mobile se bhi kar sakte hai.

Online Voter Id Card Ke Liye Requirements


1. Address proof
2. Age proof
3. Passport size photo
( 1 aur 2 dono ke liye aap aadhaar card ka use kar sakte hai )

Online Voter Id Ke Liye Apply Kaise Kare


1. www.nvsp.in open kare.
2. Ab Apply online for registration of new voter option me click kare.
3. Ab aapke saamne Form 6 open hoga, jisme aapko apni detail fill karna hai.
neeche mene poora form bharne ka tarika step by step detail se bataya hai.

? State choose kare.
? Nirvaachan kshetra choose kare.

l. ????? ?? ?????? / l. Applicants detail
Isme aapko apna name, surname, gender, date of birth aur birth place ki detail fill karna hai jo ki aap aasani se kar sakte hai.

II. ?????? ??? ?? ????? ????? ?? ????? (???? ???)/II. Particulars of place of present ordinary Residence (Full address)



Isme aap present me jaha reh rahe waha ki detail fill karna hai. isme makaan nu., ward, street, pin code, district, mobile nu., email id fill karna hai. ise bhi aap khud se aasani se fill kar sakte hai.

III. ???????? ??????? ?? ??????? ???????? ??????? ??? ???? ?? ?? ???????? ??? ?? ????? ?? ?????? ?? ?????(???) ?? ??????:/III. Details of member(s) of applicants family already included in the current electoral roll of the Constituency
Yadi aapke father / mother / husband me se kisi ki voter id aapke fill kiye gaye address se already ban chuki hai to uski detail isme fill karna hai.
? Name - Isme aapko uska naam fill karna hai jiski voter id aapke dwara fill kaye address par ban chuki hai.
? Relation - Aapne jiska naam fill kiya hai uske saath aapka kya relation hai wo choose kare.
? Part nu. - iske liye aap ceomadhyapradesh.nic.in open kare aur isme district name , assembly name choose kare aur voter id card nu. ke liye aapne jiska name fill kiya hai uska voter id card dekhe. ye number voter id card ke front me hi likha hota hai. iske baad search me click kare. iske baad new page open hoga usme aapko part nu. mil jayega, use fill kare.
? Serial nu. - serial nu. bhi aapko upar ki process me mil jayega, use fill kare.
? Electors photo identity card nu. - Ye number voter id card me elector ki photo ke aas paas hi likha hota hai. ise fill kare.

????? ???????? ????? ???/Upload Supporting Document


? Photo - isme aapko apni passport size photo choose karna hai. photo 50 kb se jyada ki nahi hona chahiye.
? Identity proof - identity proof ke liye aap apne aadhaar card ki photo upload kar sakte hai. identity proof ki photo 100 kb se jyada ki nahi hona chahiye.
? Address proof - iske liye bhi aap apne aadhar card ki photo upload kar sakte hai. iski photo ka size bhi 100 kb se jyada ka nahi hona chahiye.

IV.?????/IV. Declaration


(ii) Aapne jis address se voter id ke liye apply kiya hai waha aap kab sereh hai uski date, month, year choose kare.
(iv) ? ??? / Place - Aapne jis jagah ki voter id ke liye apply kiya hai wo fill kare.
? ?????? / Date - Jab aapne ye form fill kiya hai tab ki date, month & year choose kare.
Aap ke dwara fill ki gayi jankari ek baar acche se check kar le uske baad ??? / submit ki button me click kare.

( Note :
             Form submit karne ke baad aapke form fill kiye gaye mobile number par ek message aayega jisme reference id nu. aaya hoga jiski madad se aap apni application track kar sakte hai.
Application track karne ke liye trackstatus link ko open kare aur usme apni reference id fill karke submit kare. aapko apni application ka status pata chal jayega ki application kis process tak pahunchi hai. )

Application submit karne ke baad kuch dino ki processing ke baad aapki application aapke area ke booth level officer ke paas jayega aur wo aapke ghar aakar aapki di hui jankari check karenge, jaroori document lenge aur aapke signature lekar chale jayenge. iske kuch din baad aapka voter id card post ke dwara aapke ghar par aa jayega.

Aapko voter id card ke liye online form submit karne me koi problem ho rahi ho to aap hamse comment me pooch sakte hai aur ye post apne friends ke saath bhi share kare.


Go to link download