Wednesday, April 12, 2017

Android Phone Me Installed System Apps Ko Uninstall Kaise Kare

Android Phone Me Installed System Apps Ko Uninstall Kaise Kare



system me installed apps ko uninstall kaise kare


Hello friends, Hindi Helpz me aapka swagat hai. Is post me ham aapko batayenge ki android phone ke system me installed applications ko uninstall kaise karte hai. Aapne dekha hoga ki sabhi android mobiles me company ki taraf se kuch pre - installed apps aate hai jo ki uninstall nahi hote kyoki ye system me install hote hai.


Pre - Installed Applications Ko Uninstall Kyo Kare


Aap log soch rahe honge ki pre - installed apps ko uninstall karne ki kya jaroorat hai. To chaliye jante hai aakhir iski kya jaroorat hai aur is se kya fayde hai.

1. System me installed apps me se kuch apps kaam ke nahi hote hai jo phone ki internal storage khate hai. Aise apps ko uninstall kar dena chahiye.
2. Ye apps phone ki storage ke sath sath RAM khate hai. Inhe uninstall karke phone ki storage aur RAM increase karke inki jagah par apne kaam ke apps install kar sakte hai.
3. Yadi aapka phone hang hota hai to iska main reason hota hai phone me jyada applications hona. To aap pre installed applications ko uninstall karke phone ke hang hone ki problem ko bhi solve kar sakte hai.
4. Android phone me installed koi bhi applications background me work karte hai jisse battery ki khapat hoti hai. Isliye jo application kaam ki nahi hai unhe uninstall karke aap apne phone ki battery life increase kar sakte hai.


Pre - Installed Apps Ko Uninstall Karne Se Nuksaan


System me installed apps ko uninstall karne se kisi bhi tarah ka nuksaan nahi hai. Bas unhi apps ko uninstall kare jo aapko use karne ke liye diye gaye hai, example - samsung ke phones me samsung push service, samsung apps. Aise apps unistall na kare jo ki mobile ke system aur mobile ko operate karne ke liye jaroori hai aur hamare use ke liye nahi hai example - google play service, android system. Kyoki aisi applications ko unistall karne par aapka phone me problem aa sakti hai.


System Me Installed Applications Ko Uninstall Kaise Kare



Iske liye aapka phone rooted hona chahiye. Yadi aapka phone rooted hai to aap aage ke steps follow kare. Yadi aapka phone rooted nahi hai to aap hamari post android phone ko without pc root kaise kare ko read karke sabse pehle apna phone root kare.

Read Also :
    > Kinguser / Kingroot Ko SuperSu Me Replace Kaise Kare.
    > CWM / TWRP Custom Recovery Kaise Install Kare.

1. Sabse pehle neeche di hui link se lucky patcher download kare.
Download Lucky Patcher
2. Lucky patcher download hone ke baad install kare aur open kare.
3. Ab root permission poochega use grant kare. Iske baad thodi der ki loading ke baad app open ho jayega.
4. Bottom ( sabse neeche ) me diye hue search option par click kare.
5. Iske baad upper right corner me diye hue filters option par click kare.
6. Diye hue options me se system apps option choose kare aur apply button me click kare.
7. Ab aapke samne aapke phone ke system me installed sabhi applications show hongi.
8. Aapko jo application uninstall karna hai usme click kare aur uninstall option choose karke yes button me click kare.
9. Isi tarah aap baaki apps ko bhi uninstall kar sakte hai.


Aapko ye post kaisi lagi hame comment me batayen, is post se related koi question ya pareshani ho to aap hamse comment me pooch sakte hai. Ye post apne friends ke sarh bhi share kare. Hamare blog ki new post email dwara pane ke lie hamara blog subscribe kare aur fb par pane ke liye hamara facebook page like kare.


Go to link download