Sunday, April 2, 2017

Dingtone App Se Free Call And SMS Kaise Kare

Dingtone App Se Free Call And SMS Kaise Kare


Dingtone app se free call and sms kaise kare

Pichli post me maine aapko bataya tha ki true balance app se free recharge kaise kare. Is post me mai aapko bataunga ki dingtone app se free call and sms kaise karte hai.



Dingtone ek android app hai jisme register karne par ham kuch free credits milte hai jiski madad se ham free calling and sms kar sakte hai.

Dingtone Se Free Call And SMS Kaise Kare




1. Sabse dingtone app download kare.
   Download Dingtone
2. Install hone ke baad open kare.
3. Sign Up button me click kare.
4. Apni country select kare aur apna mobile number enter kare. Iske baad upar ki taraf right me diye hue continue option me click kare.
5. Aapke enter kiye hue mobile number par 4 digit ka OTP aaya hoga use enter kare aur continue option me click kare.
6. Iske baad apna name enter kare aur continue me click kare.
7. Itna karne ke baad aapka dingtone account setup compelete ho jaega. Ab aap call aur message option me jakar kisi ko bhi free call and message kar sakte hai. Ye call and message dingtone me mile free credits se hota hai.



Dingtone Me Credit Kya Hai Aur Kitna Milta Hai


Jab dingtone me new account banate hai to 15 credtis free milte hai. India me 1 minute ki call ke lie 1.85 credit pay karna hota hai aur ek message karne ke liye 1.10 credit pay karna hota hai. Ye sabhi countries ka different hota hai. Ise aap calling rates option me jakar check kar sakte hai.

Free Credits Kaise Earn Kare




Aap 15 credits ke alawa aur bhi extra credits earn kar sakte hai kuch methods se. Free credits earn karne ke lie dingtone app open kare aur get free credits option ko open kare. Ab aapko ye options show honge.

1. Daily Free Credits


Isme bhi 2 options hai ek daily check in, ise aap daily din me ek baar open karne par 2 credits milenge aur doosra hai im feeling lucky, ise bhi daily din me ek baar open kar sakte hai, isme 1 credit milta hai.

2. Invite Friend


Is option se aap apne friends ko dingtone app download karne ke lie invite kar sakte hai. Yadi aapke dwara send ki gai invitation link se aapka koi friend ye app download karke usme register karta hai to aapko per friend 20 credits milenge.

3. Compelete Tasks And Surveys


Isme aapko kisi bhi type ka task diya jata hai, jise compelete karne par aapko free credits die jate hai. Task easy hi rehte hai, example - koi bhi app download karo, isme credit fix nahi rehta. Task ke hisab se credits die jate hai.

Dingtone App Ke Features


Dingtone app me calling and messaging ke liye aur iske alawa aur bhi bohot se acche acche features hai.

1. Walkie - Talkie


Yadi aapke phone aur aapke friend ke phone dono ke me ye app installed hai aur aap dono jyada doori me nahi hai to iska use walkie - talkie ke roop me bhi kar sakte hai, iske lie aapko credit ya kisi bhi prakar se kuch pay nahi karna padega, ye bilkul free hai.

2. Call Conference & Group Call


Is feature ki madad se 8 people ya isse kam group me baat kar sakte hai.

3. Call Recording


Is feature se aap koi bhi dingtone calls ko record kar sakte hai.

4. Get U.S. Phone Number


Dingtone me 100 credits pay kar ke u.s. ka phone number buy kar sakte hai aur us number se kisi ko bhi call and sms kar sakte hai.



Aapko ye post kaisi lagi hame comment me batayen, is post se related koi question ya pareshani ho to aap hamse comment me pooch sakte hai. Ye post apne friends ke sarh bhi share kare. Hamare blog ki new post email dwara pane ke lie hamara blog subscribe kare aur fb par pane ke liye hamara facebook page like kare.


Go to link download