Saturday, March 25, 2017

3G Android Phone Me 4g Jio Sim Kaise Chalaye

3G Android Phone Me 4g Jio Sim Kaise Chalaye


3g phone me reliance jio 4g sim kaise chalaye

Aapne reliance jio 4g ke baare me to suna hi hoga aur acche se jaante bhi honge. jabse jio sim aayi hai jio ka tehelka pure india me hai kyoki ye customers ko 3 month tak unlimited internet, calls and messages de rahi hai.

pehle ye sirf reliance LYF phone me hi work karti thi but kuch din pehle reliance ne jio ki open sell shuru kar di hai jis se ki ye sim sabhi ke liye uplabdh hai. lekin isme bhi ek kami hai ki iske liye aapke paas 4G phone hona jaroori hai. yadi aap is sim ko 3G phone me lagate hain to " No service " ya " sim not found " batata hai. lekin ham aapko ek trick bata rahe hain jis se aap 3g phone me bhi jio 4g ka lutf utha sakte hain.

3G Phone Me Jio 4G Sim Kaise Chalaye



Iske liye aapko sabse pehle MTK Engineering Mode app download karna hoga aur neeche di hui process follow karna hoga. ye app 200 kb se bhi kam ka hai. ise aap play store se download kar sakte hai ya fir neeche di hui link se download karen.


Requirements


Kuch requirements hai 4g jio sim ko 3g phone me chalane ke liye jo ki aapke phone me hona chahiye -

1. Aapka phone 4.4 kitkat ya is se bade version ka hona chahiye.
2. Mediatek chipset processor hona chahiye.


3G Phone Me 4G Jio Sim Chalane Ke Liye Steps -


1. MTK Engineering Mode app download kare aur open karen.
            Download MTK Engineer Mode
2. Open karne ke baad MTK Setting option select karen.
3. Preferred Network option choose karen.
4. Network mode WCDMA or GSM choose karen.
5. Setting save karen aur phone restart karen.
Iske baad aapke phone me jio 4g work karne lagegi aur aap 3 month unlimited internet, calls and messages ka maja le sakenge.


NOTE -
             ? MTK Engineering Mode bahut se phone par work nahi karta hai.
             ? Apne phone ka specification check kar le ki meditek processor hai ya nahi, kyoki ye trick sirf mediatek processor wale phone par hi work karti hai.
             ? Is process savdhanipurvak karen.
             ? Is process ko apni khudki risk par hi karen, isme hindihelpz.com kisi bhi prakar se jimmedar nahi hoga.

Friends aapko ye post kaisi lagi hame comment me batayen aur ye trick apne friends ke sath bhi share karen



Go to link download