Sunday, March 26, 2017

Play store ki common Error ko fix kaise kare

Play store ki common Error ko fix kaise kare


How to fix play store common error

Hello readers, Aaj ham janenge Play store ki common errors ko fix kaise kare. Jaisa ki aap sab jante hai aajkal 80% mobile users android phone ka use karte hai aur android ka market bohot bada hai. android phone rehte hue ham apps and games ka use na kare ye to namumkin hai. ham lagbhag 85-86% apps and games Play store se download karte hai aur other games and apps dusri sites se. Lekin kabhi kabhi hota ye hai ki jab ham koi app play store download karte hai to hame ek specific code ke saath error ka message show hota hai aur kaafi koshiso ke baad bhi wahi message show hota hai aur haar mankar ya to ham use download hi nahi karte ya to fir phone reset kar dete hai. isiliye aaj ham janenge play store ki errors ke solutions. Solutions jaanne se pehle ham wo specific code janenge jo hame message me show hote hai.

* Youtube se video aur song download kaise kare, bina kisi software ke.

Play store Error codes


1. Play store error DF-BPA-09
2. Play store error 194
3. Play store error 495
4. Play store error 941
5. ~~~~~~~~~~ rh01
6. ~~~~~~~~~~ rpc:s-5:aec

7. ~~~~~~~~~~ 504
8. ~~~~~~~~~~ 505
9. ~~~~~~~~~~ 491
10. ~~~~~~~~~ 498
11. ~~~~~~~~~ 919
12. ~~~~~~~~~ 413
13. ~~~~~~~~~ 497
14. ~~~~~~~~~ 921
15. ~~~~~~~~~ 403
16. ~~~~~~~~~ 944
17. ~~~~~~~~~ 406
18. ~~~~~~~~~ 923
19. ~~~~~~~~~ 492
20. ~~~~~~~~~ 101
21. ~~~~~~~~~ 481
22. ~~~~~~~~~ 927
23. ~~~~~~~~~ 961
24. ~~~~~~~~~ 911
25. ~~~~~~~~~ 920
26. ~~~~~~~~~ 24
27. ~~~~~~~~~ rpc:aec:0]
28. ~~~~~~~~~ RPC:S-3
29. ~~~~~~~~~ 924
30. ~~~~~~~~~ 110
31. ~~~~~~~~~ 940
32. ~~~~~~~~~ 906
33. ~~~~~~~~~ 907
34. ~~~~~~~~~ 963

* 10 whatsapp tricks, jo shayad aap nahi jante

In sabhi errors ke solution alag-alag hai aur kuch ek jaise hai. lekin me yadi sabhi points ke baare me alag- alag likhu to post bhi lambi ho jayegi aur aapko yaad rakhne me bhi pareshani hogi. me inka solutions kuch is tarike se bata raha hu ki aapko sabse pehle 1st point try karna hai, yadi error fix nahi hoti to fir 2nd, fir bhi nahi hoti to 3rd. is tarah se baari baari line se aapko try karte jana hai.

Play store ki common error ko fix kaise karte hai


1. Restrat your phone


Aapko apne phone ko restrat karna hai.

Restart karne ki process

1) Power button ko hold kare rakhe thodi der tak.

2) Ab ek popup aayega usme Restrat me click kare.


thodi der wait karne ke baad aapka phone restrat ho jayega. uske baad playstore open karke try kare.


* Android phone se free sms kese kare

2. Clear cache and App data


Play ka cache aur data clear karna hai.
Iske liye steps

1) Apne phone ka menu open kare.

2) Setting open kare.

3) Applications manager open kare.

4) Play store me click kare.

5) Clear cache me click kare uske baad clear data me click kare.

Ab play store open karke app download karke dekhe.

3. Remove gmail account


Is step me hame gmail account ko remove karke phone restart karna hai uske baad fir se gmail accoun add karke try karna hai.

Gmail account remove karne ki process

1) Phone ki setting open kare.

2) Account and sync me click kare

3) Apne gmail account me click kare.

4) Remove account me click kare.

5) Phone ko restart kare.

6) Setting open karke Account and sync me click kare.

7) Add account me click kare.

8) Apni gmail id aur password daal ke save kar de.

Ab play store open kare aur try kare

* Whatsapp me friend ki profile pic kaise change kare.

4. Uninstall Update


Yadi aapne play store ko update kiya tha to use uninstall kare.
Update uninstall karne ki process

1) Setting open kare aur application manager me jaye.

2) Play store me click kare.

3) Uninstall updates me click kare.

Ab play store open kare aur app download kar ke dekhe.

5. Uninstall unuseful apps


Kabhi-kabhi internal storage full hone ki wajah se phone me space nahi reh jata hai. isiliye jo bhi apps and games aapke kaam ke nahi hai unhe uninstall kare.
Apps uninstall karne ke liye process

1) Setting open kare aur Application manager me jaye.

2) jis app ko uninstall karna hai usme click kare.


3) uninstall me click kare

4) is tarah se baaki ke unuseful apps and games uninstall kare
uninstall karne ke baad try kare.

* Facebook me sabhi friend requests ek click me kaise accept kare

6. Remove old gmail account and add new gmail account


Kabhi-kabhi esa ho jata hai ki aapke gmail account me koi problem aa gayi ho. To aap apna old account ko remove kare aur new gmail account banakar add kare.

7. Reset your phone


Yadi aap upar ke 6 steps ajma ke dekh liye aur fir bhi aapki pareshani door nahi hui ho to aapke paas last option hai . aap apna mobile phone reset kare.
Phone reset karne ki process

1. Setting open kare.

2. Back up and reset me click kare.

3. Factory data reset me click kare.

Itna karne ke baad aapki problem jaroor solve ho jayegi.aur yadi fir bhi na ho raha ho to comment kare.

Friends aapko ye post acchi lagi ho to hamara Fb page like karna na bhoole.

Go to link download