Tuesday, March 28, 2017

Facebook messenger me soccer football kaise khelte hai

Facebook messenger me soccer football kaise khelte hai


messenger me chess kaise khelte hai. hindihellz

Hello friends, Aaj me aapko bataunga ki Facebook messenger me soccer (football) kaise khelte hai. Facebook kitni badi social media site hai ye aap khud hi jante hai mujhe batane ki jaroorat nahi hai. facebook din ba din naye-naye changes kar raha hai aur new features add kar raha hai. facebook poori kosish me hai ki fb ke visitors fb se poori tarah se satisfied ho. abhi facebook ne messenger me new feature add kiya hai jiski madad se ham messenger me bina kisi third party app ki madad se soccer khel sakte hai. Facebook messenger ne ye feature 13 jun 2016 ke updated version 75.0.0.21.70 me add kiya hai. iske pehle ki post me mene aapko bataya tha messenger me chess kaise khelte hai, bina kisi third party application ke. is post me ham football game ke bare me janenge.



Facebook messenger me soccer (football) game kaise khelte hai.


1. messenger open kare aur apne kisi friend ke saath conversation launch kare.


2. iske baad emoji option me click kare.


3. emoji option me click karne ke baad 5th number me soccer emoji ka option hai usme click kare.



4. first wali soccer ki emoji select kare aur send kar de.


5. send karne ke baad send ki hui emoji me click kare.

Also read:
? Facebook me sabhi friend requests ek click me accept kaise karte hai.
? Facebook autoliker se hone wale nuksan
 ? Facebook me color text kaise likhte hai.
             

click karne ke baad ek window open hogi jisme aapko game play karna hai.is game ko khelne ke liye aapko ball me tap karna hai aur jaise hi ball bounce hogi aapko ball me tap karte jana hai, ball ko neeche nahi girne dena hai. Aap ball ka balance jitni baar tap kar ke banayenge utne point bante jayenge aur jaise hi ball neeche giri game over ho jayega aur aapka score board aapke friend ko conversation me dikhne lagega, bilkul ese hi yadi aapka friend bhi game khel raha hoga to uske score bhi aapko show honge.

To friends game ko enjoy kare, aur hamari post apne friends ke saath bhi share kare.

Friends aapko ye post acchi lagi ho to hamara fb page like kare aur is post se related koi problem ho to aap comment me pooch sakte hai.





Go to link download