Sunday, March 26, 2017

Facebook me profile photo aur cover photo ko combine kaise kare

Facebook me profile photo aur cover photo ko combine kaise kare


Facebook me profile photo aur cover photo ko merge kaise kare

Kya aapko pata hai ki aap apni facebook ki cover photo aur profile picture ko combine kar sakte hai. matlab yadi koi bhi aapki fb profile open kar ke dekhega to use esa lagega ki aapki cover photo aur profile pic alag alag nahi hai balki ek hi hai. ho sakta hai ki esa aapne social media me pehle hi dekha ho.

Aap is trick se apni facebook profile ko good looking bana sakte hai,aur apne dosto ko ascharya me daal sakte hai. To is post me ham janenge ki facebook ki cover photo aur profile photo ko combine kaise karte hai.


Facebook ki cover photo aur profile picture ko combine kaise kare


Iske liye aako jyada kuch nahi karna hai, bas ek website me jakar photo upload karna hai jise aap combine karna chahte hai. uske baad unhe downloa karna hai. to chaliye step by step jante hai.

1. Sabse pehle is wwbsite ko open kare www.trickedoutimeline.com .

2. Iske baad jo page khulega usme 4 options diye hue hai. isme se first option merge profile and cover photo me click kare.


3. iske baad new page open hoga jisme hame photo select karna hai jise ham merge karna chahte hai. isme 2 options diye hue hai. 1st choose file- isme hame gallery se pic choose karna hai and 2nd facebook cover photo- isme hame apne facebook ke album se photo choose karna hoga. mene yaha par 1st option choose kiya hai. to choose file me click kare.

4. choose file me click karne ke baad jo pic aap combine karna chahte hai use choose kare aur upload button me click kare.


Read Also :
       ? Facebook messenger ki top 10 hidden tricks .
       ? Facebook me sabhi friend requests ek click me kaise accept kare .
       ? Facebook me color text kaise likhte hai .
       ? Facebook autoliker se hone wale nuksan .

5. iske baad jo page open hoga usme aapko left taraf aapko photo ka utna part select karna hai jitna aap cover photo aur profile pic rakhna chahte ho aur right taraf preview dikhega ki photo facebook me kaisi dikhegi.


6. sahi tarike se selection kar le aur preview dekh kar confirm kar le ki theek hai ya nahi uske baad done me click kare.


7. Done me click karne ke baad new page open hoga jisme 2 options hai. 1st- Download your cover photo and 2nd- Download your profile photo. dono options se dono photos download kar le.


8. Download karne ke baad facebook.com me jakar apni profile me dono photos upload kar dijiye.


9. Upload ho jane ke baad aapki profile kuch is tarah se dikhegi.


To friends aap ne jaan liya ki facebook me profile photo and cover photo ko combine kaise karte hai.

Ye trick aapko acchi lagi ho to apne friends ke saath bhi share kare. aapko is post se realated koi problem ho to hamse comment me pooch sakte hai. esi hi aur bhi tricks facebook par pane ke liye hamara fb page like kare aur email me pane ke liye hamara blog subscribe kare.

Go to link download