Saturday, March 18, 2017
Paytm Wallet Se Jio Prime Membership Kaise Activate Kare
Paytm Wallet Se Jio Prime Membership Kaise Activate Kare

Aap log jio prime membership ke baare me jaante hi honge. Jio prime membership activate karke aap jio sim me march 2018 tak unlimited internet, unlimited calls, unlimited sms etc. ka maja le sakte hain. Yadi aapko jio prime membership ki detail se jankari cahahiye to maine iske liye alag se post likha hai.
Jio Prime Membership Kaise Activate Kare Aur Iske Kya Faayde Hai.
Jio prime membership subscription 1 march 2017 se 31 march 2017 ke beech 99 rs ek baar pay kar ke karana hai. Ise activate karne ke bohot se tarike hain.
1. Jio ki official website ke dwara.
2. My jio app ke dwara.
3. Jio ke offline stores ke dwara.
1. Jio ki official website ke dwara.
2. My jio app ke dwara.
3. Jio ke offline stores ke dwara.
Iske bohot se ways hai fir bhi hamne is post me paytm ke dwara activate karne ki process isiliye bataya hai kyoki paytm ka use in dino kaafi badh gaya hai. Paytm use karne me kaafi aasan hai. Paytm me paise add karna bhi kaafi aasan hai aur isme samay samay par cashback bhi milta rehta hai. Paytm wallet cash bank account me transferable bhi hai. Jabki paytm ke mukable credit card, debit card, net banking etc. ke dwara payment karna thoda difficult hai.
Jio Prime Membership Paytm Wallet Se Activate Kaise Kare ?
1. My jio app install karen aur open karen. ( update version hona jaroori hai )
2. My jio apo ke saamne di hui open button me click karen.
3. Open karne ke baad kuch seconds wait karen aapko jio prime membership activate karne ka pop up show hoga.
4. Pop up me di hui get jio prime ki button me click karen.
5. Yadi aapko pop up show nahi hua to my jio app open karne ke baad my jio app ke saamne di hui open button me click karen.
6. My jio app me login karen.
7. Iske baad menu open karen.
8. Menu open karne par aapko sabse top me jio prime ka option show hoga usme click karen.
9. Iske baad next page jio prime ka show hoga usme aapko 2 option show honge get jio prime aur gift jio prime.
10. Get jio prime option me click karen.
11. Get jio prime me click karne ke baad aap recharge page me pohonch jayenge.
12. Rs. 99 ki button me click karen.
13. Iske baad payment mode me last option wallet / cash cards choose karen.
14. Isme aapko 2 option jio money aur paytm show honge.
15. Inme se paytm option choose karen.
16. Iske baad aap paytm payment mode page me pohonch jayenge jisme payment amount 99 rs. diya hoga.
17. Usme apna mobile number enter kare aur sms me aaye hue otp se verify karen.
18. Apne paytm wallet se 99 rs. pay karen iske baad aapko payment successfull ka message show hoga.
19. Done...! Aapne apne paytm wallet se jio prime membership activate kar liya hai.
20. Jio prime benefits ka maja len. Unlimited maza continue hoynga...
Friends aapko ye post kaisi lagi hame comment me bataye aur aapko is post se related koi problem ho to bhi comment me pooch sakte hai. Ye post apne friends ke sath share kare. Hamare blog ki new updates facebook me pane ke liye hamara facebook page like kare aur email me pane ke liye hamara blog subscribe kare.
Go to link download