Friday, April 28, 2017

DND Service Kaise Activate Kare Idea Bsnl Airtel Reliance etc me

DND Service Kaise Activate Kare Idea Bsnl Airtel Reliance etc me


How to activate Do Not Disturb


Is post me ham janenge idea, bsnl, airtel, reliance, vodafone etc. sim me DND kaise activate karte hai. sabse pehle ham jaan lete hai ki DND service aakhir hoti kya hai aur iska kya use hai.



DND kya hai ?


DND ka full form hota hai Do Not Disturb.
Aap chahe jo bhi company ki sim use karo, aapki sim me rojana kai tarah ke offer se related bahut se calls and messages aate hai. inme se kuch call hamari sim ke offers se related bhi rehte hai. in calls me aako tarah tarah ke offers, recharge plans, message plans, caller tune, dialer tune, product promotion etc. rehte hai. inme se kuch sahi rehte hai kuch farji rehte hai. wese bhi aaj kal koi bhi is tarah ke call and message ko ignore kar dete hai, lekin hame kya pata ki kiska call ya msg hai isliye hame dekhna to padta hi hai. jis se hamara samay barbaad hota hai. kabhi kabhi to inke piche hame apne jaroori kaam ko chhodkar tak apna samay barbaad karna padta hai. yadi ham in sabhi numbers ko ek ek kar ke blacklist me save kare to puri list full ho jayegi aur samay alag barbaad hoga fir bhi ham sabhi numbers ko block nahi kar payenge.

Isliye DND hame is type ke call and messages se bachne ki suvidha deta hai. to chaliye dekhte hai.


DND Service Kaise Start Kare


DND service activate karne ke liye hame 1909 me call ya message karna hota hai. ise ham 2 tariko se kar sakte hai fully aur partially. fully me is type ke sabhi calls and messages block ho jate hai aur partially me aap jo service aapko pasand nahi hai unko bas block kar sakte hai. jaise maan lo aapko beauti tips se related call and messages pasand nahi hai to aap chahe to inhe bas block kar sakte ho baaki ke chaalu rahenge.

DND Fully Activate


DND full activate karne ke liye message box me START 0 type kare aur 1909 me send kare ya 1909 me call kare.

DND Partially Activate


1. Banking, Insurane, Financial Products, Credit Card se related calls and messages ko block karne ke liye message box me START 1 type kare 1909 me send kare.
2. Real estate se related calls and messages ko band karne ke liye message box me START 2 type kare 1909 me send kare.
3. Education se related calls and messages block karne ke liye START 3 type kare aur 1909 me send kare.
4. Health se related calls and messages ko band karne ke liye START 4 type kare aur 1909 me send kare.
5. Consumer goods and automobiles se related calls and messages ko block karne ke liye START 5 type kare aur 1909 me send kare.
6. Communication, broadcasting, entertainment, it se related calls and messages ko band karne ke liye START 6 likhkar 1909 me send kare.
7. Tourism se related calls and messages ko block karne ke liye START 7 likhkar 1909 me send kare.


Yadi aapne is service ko pehle activate kiya hai apna subscription status is LINK me jakar check kar sakte hai.

Read Also:
         ? Android Phone Ki Speed Kaise Badhaye - 5 Tips.
         ? Android Phone Factory Reset Karne Se Pehle Kare Ye 5 Steps.
         ? Idea internet data plan share kaise kare.

DND Searvice Activate Karne Se Pehle In Points Ko Dhyan Rakhe


1. Aap DND service ke liye apply karte hai to ise activate hone me 7 din ka samay lag sakta hai.
2. DND service aapko personal, third party, banking alerts, online booking, banking communication ke calls and messages ko block karne ki suvidha nahi deta.
3. Yah service puri tarah se free hai, iske liye aapko kisi bhi prakar ka charge nahi lagta.
4. Upar bataye hue sabhi sms and messages bhi is number ke liye free hai.


DND Service Deactivate Kaise Kare


Aapne DND service start kar liye hai aur yadi aapko baad me lagta hai ki is se aapke koi jaroori calls and messages block ho gaye hai to aap ise deactivate kar sakte hai.
Deactivate karne ke liye STOP message likhkar 1909 me send kare. isme bhi 7 din ka samay lag sakta hai.

Ye jankari apne friends ke sath bhi share kare. Esi hi aur bhi jankari and tricks fb me pane ke liye hamara fb page like kare aur email me pane ke liye hamari website subscribe kare.

Go to link download