Thursday, April 27, 2017

International United States Ke Number Se Whatsapp Account Kaise Banaye

International United States Ke Number Se Whatsapp Account Kaise Banaye


create whatsapp account with international united states number.


Friends is post me ham aapko batayenge ki international phone number yaani united states ke number se whatsapp account kaise banaye.


Aapne united states ka naam ti suna hi hoga aur aap ye bhi jaante honge ki ye kaafi famous country hai. Aap chahe to is post ki madad se is country ka number pa sakte hai aur is number ki madad se whatsapp account bana sakte hai.

Iske liye aapko koi sim buy nahi karna padega. Ye sirf ek chhoti si trick se possible hai aur ye trick bilkul free hai. Bas iske liye aapko ek android app ki jaroorat padegi jiska naam primo hai.

Note - Ye trick only fun and knowladge purpose ke liye hai isliye iska use sirf fun ke liye hi kare. Is trick ka use kisi illigal work ke liye na kare. Yadi aap iska use kisi illigal work ke liye karte hai aur aapko kisi bhi prakar ka nuksaan hota hai to iska jimmedar mai aur hindihelpz.com nahi honge, iske jimmedar aap khud honge.

International [ United States ] Ke Number Se Whatsapp Account Kaise Banaye



[ Step - 1] Create Account On Primo App


1. Sabse pehle primo app install kare.
     Download Primo App

2. Install hone ke baad open kare.

3. Create account option me click kare.


4. Ab aapko account create karne ke liye kuch details fill karna hai.
1) First name - Isme apna name fill kare.
2) Last name - Isme apna last name yaani surname fill kare.
3) Username - Isme aapko login ke liye username fill karna hai. Aap apni pasand ka koi bhi username fill kar dijiye. Example - Abc123 . Username yaad rakhe kyoki dubara login karte samay aapko iski jaroorat padegi.
4) Password - Apni pasand ka password fill kare jo yaad rahe. Iski bhi jaroorat dubara login karte samay padegi.
5) Confirm password - Jo password iske pehle wale box me fill kiya tha use hi dubara is box me fill kare.
Sabhi fields fill karne ke baad last me sign up button me click kare.

5. Isme apna mobile number fill kare aur submit button me click kare. Iske baad aapke fill kiye hue mobile number me otp code aayega use fill karke confirm kare.
( Note - Mobile number jaroor fill kare aur verify kare. Yadi aap is step ko skip karte hai to aapko international number nahi milega. )

6. Iske baad aapka account successfully create ho jayega aur primo app ki home screen open ho jayegi.

7. Ooper ki taraf left corner me di hui 3 verticle lines me click karke menu open kare.

8. Menu open hone ke baad sabse neeche jakar dekhe, waha aapko ek united states ka mobile number dikhega. Isi number se whatsapp account banana hai isiliye use kahi par likh ke rakh le.

[ Step - 2 ] Create Whatsapp Account With United States Number



1. Whatsapp install kare and open kare.

2. Agree & continue button me click kare.

3. Country me untited states select kare.


4. Mobile number fill kare jo primo app se mila tha aur next button me click kare.

5. Iske baad otp ke liye call me option choose kare kyoki aapko iska message nahi milega.

6. Call me option choose karne ke baad turant primo app open kare. Open karne par whatsapp ka call aayega use attend kare. Isme 6 digit ka ek otp code bataya jayega jise kahi note kar le.

7. Iske baad whatsapp open kare aur jo 6 digit ka otp code call me bataya gaya tha use fill kare.

8. Iske baad whatsapp account create karne ke aage ke steps compelete kare.


9. Ab aap whatsapp se kisi ko bhi message ya call karenge to wo isi united states ke number se send hoga.

Note - Ye trick only fun and knowladge purpose ke liye hai isliye iska use sirf fun ke liye hi kare. Is trick ka use kisi illigal work ke liye na kare. Yadi aap iska use kisi illigal work ke liye karte hai aur aapko kisi bhi prakar ka nuksaan hota hai to iska jimmedar mai aur hindihelpz.com nahi honge, iske jimmedar aap khud honge.

Friends aapko ye post kaisi lagi hame comment me bataye. Ye post apne friends ke sath share kare. Hamare blog ki new updates facebook me pane ke liye hamara facebook page like kare aur email me pane ke liye hamara blog subscribe kare.


Go to link download