Tuesday, April 25, 2017

Youtube Video Background Me Kaise Play Kare

Youtube Video Background Me Kaise Play Kare


youtube video ko background me play kaise kare


Is post me mai aapko bohot hi kaam ki trick batane wala hu. Youtube video background me kaise play karen? Yadi ham youtube me videos dekhte hue koi other work karna chahen to nahi kar sakte hain kyoki yadi ham koi other work karte hain ya youtube ko minimize karte hai to video stop ho jati hai. Isiliye ham ye trick lekar aaye hain.


Wese to internet me bohot si tricks moujood hain jinki madad se aap youtube videos ko background me play kar sakte hain but in tricks ki requirement heavy hoti hain jaise ki aapka phone rooted hona chahiye etc. But is post me di gai tericks se aap non rooted phone me bhi youtube videos ko background me play kar sakte hai wo bhi bohot easy method se.

> Android Phone Ke Youtube App Me Ads Block Kaise Kare
> Youtube Videos Ko Song Aur Video Me Convert Kaise Kare

Is post me batayi gayi tricks ki madad se aap youtube videos ko background me play kar ke apna manchaha other work bhi kar sakte hain. Yadi aapko apne phone me koi application use karna hai, games khelna hai ya koi doosra work karna hai to wo bhi aap aasani se bina kisi problem ke kar sakte hain aur aapki youtube video bhi background me chalti rahegi.


Youtube Videos Ko Background Me Play Kaise Kare



Mai yaha par 2 methods bataunga jinki madad se aap easily youtube videos ko background me play kar sakenge.

First Method - Awesome Pop-Up Video


1. Sabse pehle neeche di hui link se awesome pop-up video app download kare aur open kare.
      Download
2. Ab search box youtube video search kare jo aapko dekhna hai aur play karen ya url box youtube video ka url paste kare.
3. Ab window ka size apne hisaab se change karen.
Iske baad aap jo bhi karna chahe kar sakte hain. Ye app youtube ke similar hai. Isme aapko sabhi youtube videos mil jayengi.


Second Method - Flytube


1. Sabse pehle neeche di hui link se flytube app install kare aur open kare.
       Download
2. Iske baad search box me wo youtube video search kare jo aapko dekhna hai aur play kare.
Iske baad aapko jo bhi app run karna hai kar sakte hai. Ye app awesome pop-up video app ki tarah hi hai.


Friends aapko ye post kaisi lagi hame comment me bataye aur aapko is post se related koi problem ho to bhi comment me pooch sakte hai. Ye post apne friends ke sath share kare. Hamare blog ki new updates facebook me pane ke liye hamara facebook page like kare aur email me pane ke liye hamara blog subscribe kare.


Go to link download