Sunday, April 30, 2017

Whatsapp Aapka Data Facebook Ke Sath Share Karega

Whatsapp Aapka Data Facebook Ke Sath Share Karega



Aapka log jaante honge ki whatsapp kitna popular social network hai. lagbhag sabhi android user whatsapp ka use karte hai. lekin aaj jo aap jaan ne waale hai use sunkar aap bhi jaroor pareshaan ho jayenge. 

aapko bata den ki facebook ne whatsapp ko year - 2014 me khareed liya tha, lekin whatsapp ne users ki privacy ke liye kaha tha ki ham apne users ka data facebook ya other kisi site ke sath na hi share karega aur na hi bechega. lekin ab whatsapp apne waade se mukar raha hai aur whatsapp users ka data facebook ke sath share karne ki deal kar liya hai. whatsapp ke is decision se whatsapp users chinta me hai. wese whatsapp ne kaha hai ki isse users ko koi nuksaan nahi hoga balki isse user experience badhega kyoki iske dwara facebook aapke intrest ke hisaab se aapko ad dikhayega. ham is post me aapko detail se batayenge ki aapka kon kon sa data share kiya jayega, facebook aisa kyo kar raha hai aur ise kaise roka ja sakta hai. To chaliye dekhte hain -




Whatsapp Facebook Ke Sath Aapke Kis Data Ko Share Karega



Whatsapp aapka phone number aur personal data ko facebook ke sath share karega, users is se pareshaan hai lekin facebook ka kehna hai ki users ke personal data ke sath koi chhed chhaad nahi ki jayegi.

Whatsapp Users Ka Personal Data Facebook Ke Sath Share Kyo Kar Raha Hai


Aap log soch rahe honge ki aakhir whatsapp users ka personal data facebook ke saath share karne ka maksad kya hai ?
Aap log jaante hain ki whatsapp no ad policy par work karta hai, matlab aapko dusri kisi company ke ads whatsapp par show nahi hote aur whatsapp apni is policy ko barkaraar rakhna chahta hai.
Facebook ka kehna hai ki whatsapp users ke personal data ka use karke aapke intrest ka anadaza lagaya jayega aur us hisab se aapko ad dikhaye jayenge aur friend suggest kiye jayenge.

Shayad aap jante honge ki facebook ki kamai ka sabse bada hissa dusri company ke ad show karne se aata hai.
Whatsapp aur facebook ke is decision se whatsapp ki no ad policy bhi barkaraar rahegi aur facebook ki earning me bhi ijafa ho jayega.
Wese whatsapp ka kehna hai ki users ka personal data facebook ke alawa other kisi company ke sath share nahi kiya jayega aur naa hi users ke personal data ke sath koi chhed chhad ki jayegi balki is se user experience badhega.

Aapke Whatsapp Ka Personal Data Facebook Ke Sath Share Hone Se Kaise Roke



Yadi aap apne whatsapp ki privacy ko banaye rakhna chahte ho aur apna personal data facebook ke sath share nahi karne dena chahte ho to ise rok sakte ho.
Aapke paas whatsapp dwara ek message show hoga, screenshot me dekhen

isme aapko Agree ki button show ho rahi hai lekin aap read option ko choose kare. iske baad aapko ek message show hoga share my whatsapp information with facebook , screenshot dekhen


iske saamne jo box hai use uncheck karen aur agree button me click karen.
Yadi aapke saamne ye message pehle hi aa chuka hai aur aapne dhokhe se ya fir iski terms & policy bina read kiye Agree ki button daba diya hai to bhi aap ise band kar sakte hain.
whatsapp open kare aur option kholen > setting > account me jayen, ab aapko isme ek option show hoga share my account info use uncheck kar den.

Last Words


Whatsapp aur facebook dwara aisa isiliye kiya gaya hsi ki whatsapp ki no ad policy bhi barkaraar rahe aur facebook dwara aapke intrest ke hisab se aapko ad show kiye ja saken. is se aapko pareshaan hone ki jaroorat nahi hai kyoki whatsapp aur facebook aapki privacy ka poora dhyan rakhte hain aur fir whatsapp ne bhi kaha hai ki aapka data facebook ke alawa other kisi site ke sath na to share kiya jayega aur na hi becha jayega, fir bhi yadi aap apni privacy ko lekar pareshaan hain to hamare bataye hue tarike se ise band kar sakte hain.



Friends aapki is jaankari ko lekar kya raaye hai hame comment me batayen

Ye Bhi Padhen :
             ? Whatsapp me chats head kaise enable kare
             ? Whatsapp group ko bina leave kiye chat clear kaise kare
             ? whatsapp me color text kaise likhe
             ? Whatsapp ke fixedsys font ka use kare
             ? Whatsapp ke reply feature ka use kaise kare
             ? 1 phone me 2 whatsapp kaise chalaye
             ? 10 whatsapp tricks in hindi
             ? whatsapp me friend ki profile pic kaise change kare

Go to link download