Monday, April 24, 2017

Facebook Me Aapko Kisne Unfriend Kiya Kaise Jane

Facebook Me Aapko Kisne Unfriend Kiya Kaise Jane


facebook me aapko kisne unfriend kiya hai kaise jane

Kya aap jaanna chahte hai ki aapko facebook se kisne unfriend kiya hai aur kisne block kiya hai ? Yadi haa, to ye post aapke liye hi hai. Aaj ham aapko ek chhoti si but special trick batayenge jiski madad se aap ye sab aasani se jaan payenge.


Facebook aaj ke samay me kitni badi social media site ban gayi hsi ye baat to aap acche se jaante hai. Aaj kuch year pehle iska use jyada log nahi karte the but aajkal iska use lagbhag sabhi log karne lage hai to sabki fb par friend list bhi lambi rehti hai jiski wajah se hame pata nahi chal paata ki kisne hame unfriend and block kiya hai. But is trick se aapko aasani se pata chal jayega.

Facebook Me Aapko Kisne Unfriend Kiya Kaise Jane



Iska feature to facebook me available nahi hai but internet me moujood third party apps ki madad se ham aisa kar skata hai. Aajkal jo features official apps me nahi rehte wo features third party app me rehte hai. Jaise maine apni pichli post me GB Whatsapp ke features ke bare me bataya tha jo ki official whatsapp se kai guna jyada acche hai. Chaliye topic me aate hai, ham step by step jante hai.

1. Who deleted me on facebook app download kare. Ye playstore me bhi uplabdh hai ya aap neeche di hui link se bhi direct play store se ise install kar sakte hai.
Download
2. Download hone ke baad Login with facebook me click kare.
3. Username and password enter kare aur login kare.
4. Iske baad app ka successfully setup ho jayega. Iske baad upper left corner ki 3 verticle line ( Menu ) me click kare.
5. Menu me history category show hogi usme aapko perday ki alag alag notification show hogi.
( Note :-- Is app ka aap jab setup karenge uske baad ki hi notifications aapko show hongi. App ke setup ke pehle aapko kisne unfriend kiya hai ye show nahi hoga. )


Who Deleted Me On Facebook App Ke Features



Ye aapko unfriend ki notifications ke alawa aur bhi notifications deta hai. Chaliye jante hai.
1. Koi new friend banta hai to uski notification aayegi
2. Kis kis ne aapko unfriend kiya hai ye pata chalega.
3. Kisne aapko block kiya hai ye pata chal jayega.
4. Aapki friend list ke kis user ne apni id deactivate kiya hai ye bhi pata chal jayega.
5. Kisi ne apni deactivated id ko reactivate kiya to iski bhi notification aapko show hogi.


Friends aapko ye post kaisi lagi hame comment me bataye. Ye post apne friends ke sath bhi share kare. Is post se related koi question ho to aap hamse comment me pooch sakte hai. Hamari new posts ki free updates pane ke liye hamara blog subscribe kare.


Go to link download